Tuesday, November 26, 2024

Noor-e-Quran 44 Izzat o Zillat ka Maalik Allah

 

Beshak jo log Allah ki aayat ka inkaar karte hain aur nabion ko na-haq qatal karte hain aur un logon ko qatal karte hain, jo logon mein se insaaf ka hukum dete hain, to un ko dardnaak azaab ki basharat de do. (21) Yehi woh log hain jin ke aamaal barbad ho gaye, duniya aur aakhirat mein. Aur un ka koi madadgaar nahi hai. (22) Kya tum ne un logon ko nahi dekha jinhein kitaab ka ek hissa diya gaya. Un ko Allah ki kitaab ki taraf bulaya ja raha hai taake woh un ke darmiyan faisla kare, phir un mein se ek giroh munh mod leta hai, aur woh to hain hi roogardani karne wale. (23) Ye is wajah se hai ke woh kehte hain, hum ko aag hargiz na chhooe gi magar ginti ke chand din. Aur un ko dhoke mein daal diya hai, un ke deen ke maamle mein un baaton ne, jo woh ghada karte the. (24) To us waqt kya ho ga, jab hum unhein jama karenge us din ke liye, jis mein koi shak nahi hai, aur har nafs ko us ka poora poora badla diya jaye ga, jo us ne kamaya ho ga. Aur un par zulm nahi kiya jaye ga. (25) Keh do, aye Allah! Mulk ke maalik! Tu jis ko chahta hai badshahi deta hai, aur jis se chahta hai badshahi cheen leta hai, aur Tu hi jis ko chahta hai izzat deta hai, aur jis ko chahta hai zaleel kar deta hai, Tere hi haath mein hai sab khair, beshak Tu har cheez par qaadir hai. (26) Tu hi raat ko din mein daakhil karta hai, aur din ko raat mein daakhil karta hai, aur Tu hi zinda ko murda se nikalta hai, aur murda ko zinda se nikalta hai, aur Tu jis ko chahta hai be-hisaab rizq deta hai. (27) Momineen kaafiron ko dost na banayein mominon ko chhod kar, aur jo koi aisa kare ga to Allah se us ka koi talluq nahi, siwaye is ke ke tum un se koi bachaav karna chaho. Aur Allah tumhein apni zaat se hoshiyar karta hai, aur Allah hi ki taraf palat kar jana hai. (28) Keh do, agar tum us ko chhupao jo tumhare seenon mein hai, ya us ko zaahir karo, Allah us ko janata hai. Aur woh us ko bhi janata hai jo aasmanon mein hai aur jo zameen mein hai. Aur Allah har cheez par qaadir hai. (29) Jis din har nafs apni ki hui neki ko apne samne maujood paye ga aur jo burai ki ho gi us ko bhi. To woh aarzu kare ga, kaash! us ke aur is ke darmiyan bohat door ka faasla hota, aur Allah tumhein apni zaat se hoshiyar karta hai, aur Allah bandon ke sath bohat mehrbaan hai. (30)

Surah: Aal-e-Imran .... Ruku: 03 .... Ayat: 21-30 .... Para: 3
Is Wazeh Elan ke baad ke Quran Allah ki Kitaab hai aur Allah ka Deen Islam hi hai, ab yahaan yeh bataya gaya hai ke woh log jin ko is se pehle kitaab-e-Ilahi ka ek hissa ata kiya gaya tha, woh is kitaab-e-Ilahi ko tasleem karne se inkaar kar rahe hain. Aur is inkaar ki wajah yeh nahi hai ke woh is kitaab ko pehchaan nahi paa rahe hain balke is ki asal wajah un ki bad-etiqadi aur bad-aamali hai. Yeh woh log hain jinhnon ne ambiya, ulama aur sulaha ki na-qdari ki aur unko na-haq qatal karne se bhi baaz nahi aaye, is ke bawajood yeh samajhte hain ke inko koi badi saza nahi di jaayegi balke unko agar jahannam mein dala bhi gaya to kuch dino mein unko wahan se nikaal kar jannat bhej diya jaayega. Aakhir us waqt unka kya haal hoga jab woh qiyamat ke roz apni bad-aamaliyon ki wajah se pakde jaayenge aur unko hamesha ke liye jahannam mein jhonk diya jaayega?
Haqeeqat yeh hai ke hukoomat wa badshahat sab usi Khuda ke haath mein hai jo is kainat ka akela Khaliq wa Maalik hai. Wahi jis ko chahta hai izzat deta hai aur jis ko chahta hai zillat deta hai. Usi Khuda ne apne Nabi ﷺ ko apni kitaab ke sath duniya walon ke paas bheja hai. Ab yahi Khuda ka aakhri paighaam hai aur yahi Deen Khuda-e-Barhaq ka Deen hai. Allah ki kitaab Quran-e-Majeed aur Allah ke Nabi Muhammad ﷺ ka uswa hi Allah tak pohanchne ka rasta hai.
Yahaan aakhir mein munaafiqat se bachne aur dushmanan-e-Islam ki shararaton se mehfooz rehne ke liye bhi kuch hidayatein di gayi hain aur saaf samjha diya gaya hai ke Allah woh hai jo dilon ki haalaton se bhi khoob aagaah hai. Agar tum kufr wa nifaaq chhupa kar bhi rakho ge to Khuda ki pakad se bach nahi paaoge.

By: Dr N Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
(30 June 2024)

Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata


No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...