Beshak jin logon ne kufr kiya hai, unke maal aur unki aulaad Allah ke muqabla mein unke kuch kaam na aayenge. Aur wahi log aag ke endhan honge. (10) Jaisa Aal-e-Fir'oun ka haal hua, aur un logon ka jo unse pehle guzre. To Allah ne unko pakad liya, unke gunahon ki wajah se. Aur Allah sakht saza dene wala hai. (11) Keh do un logon se jinhon ney kufr kiya hai, anqareeb tum maghloob ho ge aur jahannam ki taraf jama kiye jao ge, aur wo bohot bura thikana hai. (12) Beshak tumhare liye nishani thi un do girohon mein jo aapas mein madd-muqabil hue, ek giroh Allah ki raah mein ladh raha tha, aur doosra kafir tha. Wo unko khuli aankhon se dugna dekhte the, aur Allah apni nusrat se jiski chahta hai ta'ied farmata hai. Beshak is mein aankh walon ke liye bari ibraat hai. (13) Logon ke liye khushnuma bana di gayi hai nafsani khwahishat ki mohabbat yaani auratein aur betey aur soney aur chaandi ke jama kiye hue khazane aur nishandar ghode aur chopaaye aur kheti. Ye dunyawi zindagi ke samaan hain. Aur Allah hi ke paas achcha thikana hai. (14) Keh do! Kya mein tumhein in sab se behtar cheez ki khabar doon? Taqwa walon ke liye unke Rab ke paas jannatein hain, jin ke neeche nadiyan jaari hongi, wo un mein hamesha rahenge, aur paakeeza biwiyan hongi, aur Allah ki raza mandi hogi. Aur Allah bandon ko dekh raha hai. (15) Jo kehte hain, Ae hamare Rab! Beshak hum imaan le aaye hain, so hamare gunaah maaf farma de aur humein aag ke azaab se bacha le. (16) Jo sabr karne wale hain aur sachchey hain aur farmaan-bardaar hain aur kharch karne wale hain aur sehri ke auqaat mein maghfirat maangne wale hain. (17) Allah ne khud shahadat di hai ke Uske siwa koi ma'bood nahi hai, aur Farishton ne aur ilm walon ne bhi. Wo insaaf ko qaim rakhne wala hai. Uske siwa koi ibadat ke laayak nahi hai. Wo ghaalib hai, hikmat wala hai. (18) Beshak deen Allah ke nazdeek Islam hi hai. Aur jinhein kitaab di gayi thi unhon ne ikhtilaf kiya, unke paas ilm aane ke baad, aapas ki sarkashi ki wajah se. Aur jo Allah ki aayaton ka inkaar karega to yaqeenan Allah bohot jald hisaab lene wala hai. (19) Phir bhi agar ye log tum se jhagda karein to keh do, mein ne to Allah ke samne apna sir e tasleem kham kar diya hai aur jinhon ney meri itteba ki hai unhon ne bhi. Aur kaho unse jinhein kitaab di gayi hai aur ummiyon se bhi ke kiya tum bhi Islam late ho? Phir agar wo Islam le aaye to wo hidayat paa gaye. Aur agar wo phir jayein to be shak tumhari zimmedari sirf paigham pahunchana hai. Aur Allah bandon ko dekh raha hai. (20)Surah: Aal-e-Imran .... Ruku: 02 .... Aayat: 10-20 .... Para: 3
Is ruku mein pehle kuffar o munkireen ka zikar hai ke unko Allah ki pakad se bachane wala koi nahi hai. Woh is duniya mein bhi maghloob honge aur aakhirat mein to aise azaab mein dale jayenge jiska is duniya mein woh tasawwur bhi nahi kar sakte.
Iske baad wazeh kiya gaya hai ke Khuda parasti aur deen parasti ke raste mein sabse badi rukawat duniya parasti hai. Allah ne duniya ke saaz o saamaan ki ragbat insano ke dilon mein isliye dali hai taake woh iske taqazon ka haq ada kar saken, magar shaitaan insaan ko duniya ki taraf aisa raghib karta hai ke phir woh deen se bhagne ke liye hazaar bahane talash kar leta hai aur aakhirat ki un nematon ki taraf mutawajjeh nahi ho pata jo Allah ne apne nek bandon ke liye tayyar kar rakhi hain.
Yahan yeh bhi wazeh kar diya gaya hai ke Allah ke nazdeek deen to sirf Islam hi hai. Yeh baat Yahood o Nasara ko bhi bata di gayi hai aur Arab ke deegre aqwam ko bhi samjha di gayi hai. Agar koi Allah ki aayaton par imaan lana zaroori nahi samajhta to usko maloom hona chahiye ke woh us raste par nahi chal raha hai jo Allah aur jannat ki taraf jata hai.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(23 June 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment