Alif Lam Meem. (1) Allah Woh hai jiske siwa koi ma'bood nahi, Woh zinda jaaved hai, sab ko qaim rakhne wala hai. (2) Usi ne nazil ki hai tum par kitaab, haq ke sath, yeh tasdeeq karne wali hai uski jo iske aage hai, aur usi ne nazil ki hai Taurat aur Injeel. (3) Isse pehle, logon ki hidayat ke liye, aur Usi ne nazil kiya hai Furqan, beshak jin logon ne Allah ki aayaat ka inkaar kiya, unke liye sakht azaab hai, aur Allah sab par ghalib hai, inteqam lene wala hai. (4) Beshak Allah Woh hai Jis se koi cheez chhupi hui nahi hai, zameen mein aur na aasman mein. (5) Wohi hai jo tumhari soorat banata hai, maan ke peit mein, jis tarah chahta hai. Nahi hai koi ma'bood magar bas Wohi. Woh sab par ghalib hai, hikmat wala hai. (6) Wohi hai jis ne nazil ki hai tum par kitaab, is mein kuch aayatein muhkam hain, wohi kitaab ki asal hain, aur doosri aayatein mutashabih hain, to jin ke dilon mein tedh hai, woh is mein se un aayaat ke peeche lag jaate hain jo mutashabih hain, taake fitna uthayein aur unki taweel maloom karein, halanke unki taweel koi nahi jaanta siwaaye Allah ke. Aur woh log jo ilm mein pukhtagi rakhte hain, woh kehte hain ke hum in par iman laye, yeh sab hamare Rab ki taraf se hai. Aur naseehat wahi log hasil karte hain jo aqal wale hain. (7) Aye hamare Rab! Hamare dilon ko tedha na kar dena, is ke baad ke Tu ne humein hidayat de di hai aur humein apne paas se rehmat ata farma, beshak Tu hi be-had ata farmaane wala hai. (

Surah: Aal-e-Imran .... Ruku: 01 .... Aayat: 01-09 .... Para: 3
Surah Aal-e-Imran ka aaghaz Huroof-e-Muqatta'at ke saath Khuda-e-Hayy-o-Qayyum ki Wahdaniyat ke ilan se hota hai. Is ke baad yeh wazeh kiya gaya hai ke Quran bhi Usi Khuda ki kitab hai jis ne is se pehle insano ki hidayat ke liye Torah aur Injeel nazil ki thi. Ab Khuda ki yeh aakhri kitab Quran hi Furqan hai ke in teenon kitabon mein kahin koi ikhtilaf nazar aaye to faisla-kun baat Quran hi ki hogi. Agar koi is kitab ki aayaton ko nahi maane ga to us ko ghalba waale, inteqaam waale aur hikmat waale Khuda ki jaanib se sakht azaab diya jaayega. Jis Khuda ne tumhari maan ke pait mein tumhari surat banayi aur tumhari takhleeq ki hai Us se duniya ki koi bhi cheez chhupi hui nahi hai.
Yahan yeh bhi wazeh kar diya gaya hai ke woh kaun log hain jo Quran Majeed se faida uthate hain aur kaun log us se faida uthane se mehroom rehte hain. To is ki badi wajah yeh hai ke Quran mein badi taadaad un ayaton ki hai jin ki haisiyat aayat-e-Muhkamat ki hai yani aisi aayat jin ka maqsad aur matlab poori tarah wazeh aur saaf hai. Yehi Umm-ul-Kitab hain yani inhi par momino ke aqaid aur aamaal ki buniyad hai. Is ke ilawa kuch aisi aayat bhi hain jin ki haisiyat aayat-e-Mutashabihat ki hai. Yeh woh aayat hain jin ka ta'alluq Allah ki sifaat aur aakhirat ki tafseelat waghaira se hai. In ko misaalon aur tashbeehon se samjhaya gaya hai. Yeh woh nadeeda baatein hain jin ki tafseel insaan ki samajh se balatar hai. In ki ta'weel aur tafseel sirf Allah hi jaanta hai. Woh log jin ke dilon mein tedhapan hai woh fitna aur ta'weel ki talash mein in aayaton ke peechhe lage rehte hain aur apne saath doosron ko bhi aisi raahon pe daal dete hain jahan shaitan un ko andheri wadiyon mein daudata phirta hai. Is ke bar'aks ilm aur aqal rakhne waale log in baaton ki tafseel mein jane ke bajaye itni baat ko jan'na aur maan'na kaafi samajhte hain jitna Allah ne un ko bataya hai.
Yahan akhir mein woh dua sikhayi gayi hai jo insaan ko hidayat ke raste par jame rehne ki taufeeq bakhshti hai, us ko Khuda-e-Wahhab ki rehmaton ka haqdar banati hai aur us ko qayamat ke roz ek kamiyab insaan ki shakl mein khade hone ka mauqa ataa karti hai.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(16 June 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment