Ae logo jo imaan laaye ho! Kharch karo un umda cheezon mein se jo tum ne kamaayi hain aur un cheezon mein se bhi jo hum ne tumhare liye zameen se nikaali hain, aur kisi kharaab cheez ka irada na karo ke us mein se kharch karo ge, halanke tum khud kabhi us ko lene wale nahi ho magar yeh ke tum us mein aankhen band kar lo, aur jaan lo ke beshak Allah bada be-niaz, be-had khoobiyon wala hai. (267) Shaitaan tumhein tang-dasti se daraata hai aur tumhein be-sharmi ki raah sujhata hai, aur Allah apni taraf se bakhshish aur fazl ka tum se wada karta hai, aur Allah badi wusat wala, bada ilm rakhne wala hai. (268) Woh jise chahta hai, hikmat ata karta hai aur jis ko hikmat ata ki gayi, toh yaqeenan us ko bahut badi daulat de di gayi, aur naseehat to sirf aqalmand log hi haasil karte hain. (269) Aur jo kuch bhi tum kharch karte ho ya tum koi bhi nazar maante ho, toh beshak Allah us ko jaanta hai, aur zaalimoon ka koi madadgaar nahi. (270) Agar tum sadqaat ko zaahir kar ke do to yeh bhi achha hai, aur agar tum un ko posheeda rakho aur unhein faqeeron tak pahuncha do, to woh tumhare liye zyada behtar hai, aur woh tum se tumhari kuch buraiyon ka kaffara kar dega, aur jo kuch tum karte ho Allah us se poori tarah ba-khabar hai. (271) Un ko hidaayat dena tumhare zimma nahi hai balki Allah hidaayat deta hai jis ko chahta hai. Aur tum log jo maal bhi kharch karte ho woh tumhare apne liye hi hai. Aur jo kuch bhi tum kharch karte ho Allah ki rizaa haasil karne ke liye karte ho. Aur maal mein se jo kuch tum kharch karoge, woh tum ko poora ada kar diya jayega aur tum par zulm nahi kiya jayega. (272) Yeh un faqeeron ke liye hai jo Allah ke raaste mein roke gaye hain, woh zameen mein daud dhoop karne ki isitita’at nahi rakhte, naawaqif aadmi un ko khush haal samajhta hai, un ke sawal na karne ki wajah se. Tum unhein unke chehron hi se pehchaan jao ge. Woh logon se lipat kar nahi maangte. Aur tum jo kuch bhi maal mein se kharch karo ge to Allah us ko khoob jaanne wala hai. (273)Surah: Baqarah .... Ruku: 37 .... Aayat: 267-273 .... Para: 3
Is Ruku mein sadqa wa khairat aur infaq fi sabeelillah ke ta'alluq se mazeed hidaayatein aur wazahatein maujood hain. Yeh baat yahan bahut saaf lafzon mein bata di gayi hai ke jab bhi sadqa wa khairat ka irada karo to Allah ke naam par behtar aur umda cheezen hi nikalo. Aisi ghatiya cheez kisi ko mat do ke wahi cheez tumhein di jaye to tum us ko lena pasand na karo. Allah ki raah mein achhi cheez hi do taake tumhein us ka behtareen badla mile. Shaitaan tum ko sadqa se rokta hai aur kehta hai ke tum khud kya kharch karoge. Woh chahta hai ke tumhari daulat ayyaashi wa fahhashi mein zaya ho jaye aur tum duniya wa deen dono se haath dho baitho. Is ke bar'aks Khuda tum se apne fazl wa karam ka wada karta hai aur sadqa wa khairat ke zariye tumhare liye barkaton ke mazeed darwaaze kholne ka elaan karta hai. Sachi baat yeh hai ke hikmat wa danish mandi isi mein hai magar kam aqal log yeh baat kaise samajh sakte hain.
Is mein koi shak nahi hai ke tum Allah ki raah mein jo bhi kharch karo ge woh tum ko poora poora lauta diya jaye ga. Agar tum apna sadqa zaahir kar do to bhi koi baat nahi hai magar tum us ko khufiya rakho aur khamoshi se khairat karo to yeh aur achhi baat hai aur is mein zyada sawab hai. Yahan yeh bhi hukm diya gaya hai ke apne aas paas un logon ka dhiyaan rakho jo Allah ki raah mein ghirey hone ke sabab apni zarooriyat ki adaigi ke liye bhi pareshaan rehte hain magar apni khuddaari ke sabab kabhi haath nahi phailaate hain. Aise logon ki khabar geeri karna aur unki madad karna Allah ke nazdeek tumhara rutba buland karta hai. Tum jo bhi achha kaam karte ho, Allah ko sab maloom hai.٭
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi, Alig)
(19th May 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment