Jo log apne maal kharch karte hain raat aur din, posheeda aur alaniah to un ke liye un ka ajr un ke Rab ke paas hai aur un par na koi khauf ho ga aur na wo ghamgeen honge. (274) Jo log sood khate hain wo nahi uthenge magar us shakhs ki tarah jise shaitaan ne choo kar paagal bana diya ho, ye is wajah se ke unho ne kaha ke tijarat bhi to sood hi ki tarah hai, halanke Allah ne tijarat ko halal thehraya hai aur sood ko haram kiya hai, to jis ke paas us ke Rab ki taraf se naseehat aayi, phir wo baaz aa gaya to jo wo le chuka hai wo usi ka hai aur us ka maamla Allah ke hawale hai. Aur jo dobara aisa kare to wahi log aag wale hain, wo us mein hamesha rahne wale hain. (275) Allah sood ko ghatata hai aur sadqaat ko barhata hai, aur Allah mahboob nahi rakhta kisi bhi na-shukrey, gunahgaar ko. (276) Beshak jo log imaan laaye aur nek amal kiye aur namaz qayam ki aur zakat ada ki, un ke liye un ka ajr un ke Rab ke paas hai, aur un par na koi khauf hoga aur na wo ghamgeen honge. (277) Ae logo jo imaan laaye ho! Allah se daro aur chhod do jo sood mein se baaqi reh gaya hai, agar tum momin ho. (278) Phir agar tum ne aisa na kiya, to jang ka elaan sun lo, Allah aur Us ke Rasool ki taraf se, aur agar tum tauba kar lo to tumhare liye tumhare asl maal hain, na tum zulm karo aur na tum par zulm kiya jaye. (279) Aur agar koi tangi wala ho to usay aasaani tak mohlat do, aur agar tum sadqa kar do to tumhare liye ziyada behtar hai, agar tum jaante ho. (280) Aur us din se daro jis mein tum Allah ki taraf lautaye jao ge, phir har nafs ko poora poora badla diya jaaye ga jo us ne kamaya hai, aur un par koi zulm nahi kiya jaaye ga. (280)
Surah: Baqarah, Ruku: 38, Ayat: 274-281, Para: 3
Sadqa wa infaq ke zikr ke baad ab tijarat, sood, qarz aur rehn ka bayan shuru ho raha hai. In tamām cheezon ka talluq maal se hai. Maal insani zindagi ki bunyadi zarurat hai. Insan is ke husool ke liye jayez wa najayez har qism ke raste ikhtiyar karta rehta hai. Allah ne apne bandon ke samne is raste ki saari batein khol khol kar bayan kar di hain. Maal ke tabadley ke woh raste jin ke zariye insan ek doosrey ki madad karta aur ek doosrey ke kaam aata hai un raston mein Allah ne barkatein rakhi hain aur maal kamane ke woh tareeqe jin ke zariye log ek doosrey par zulm wa jabr karte hain un ko Allah ne na-pasand farmaya hai aur aisa karne walon ko na-shukra aur gunahgaar qarar dete hue un ke liye lanat wa museebat ka elaan farmaya hai.
Maal wa daulat ke husool ke liye tijarat ek jayez rasta hai jise Allah ne halal thehraya hai aur woh is ke zariye apne bandon par rehmat wa barkat ki barsaat karta hai. Tijarat ke zariye insan doosron tak us ki zarurat ki cheezein pohnchata hai aur badle mein apne liye kuch munafa haasil karta hai. Is ke bar’aks maal kamane ka ek mashhoor rasta sood bhi hai magar is mein saahukar sirf ghareebon ka khoon choosta hai aur kisi ko koi nafa nahi pohnchata hai. Ye sood ek khula hua samaji zulm hai, isi liye ye Allah ko bilkul pasand nahi hai.
Jo log sood ka karobar karte hain aur samaj ke museebat zada afrad ko mazeed museebaton mein giraftar karne ki koshish karte hain, Allah ne un ko yahan sakht tareen warning di hai aur un ke khilaf elaan-e-jang kiya hai. Isi ke saath yahan ye bhi kaha gaya hai ke agar koi tumhara maqrooz hai aur woh apna qarz ada karne ki haalat mein nahi hai to tum ko chahiye ke tum us ko aasani tak zarur mohlat do, balki tumhare liye ye ziyada behtar hai ke tum us ka qarz maaf kar do aur apni raqam ki wapsi ke liye us ke bajaye Allah se apni ummeedein wabasta kar lo.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi, Alig)
(26 May 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment