Jo log apne maal Allah ki raah mein kharch karte hain, un ki misaal aisi hai jaise ek danah ho jis se saat baliyan paida hon, aur har bali mein sau daney hon, aur Allah jis ke liye chahta hai aur kai guna barhata hai, aur Allah badi wus'at wala, khoob janne wala hai. (261) Jo log apne maal Allah ki raah mein kharch karte hain phir jo unhon ne kharch kiya us ke baad na ehsaan jatate hain aur na koi takleef pohnchate hain, un ke liye un ka ajr un ke Rabb ke paas hai, aur un par na koi khauf ho ga aur na woh ghamgeen honge. (262) Achi baat keh dena aur darguzar karna us sadqa se behtar hai jis ke peechay aziyyat pohnchana ho. Aur Allah beniyaaz hai, bara hilm wala hai. (263) Ae iman lane walo! Apne sadqat ko barbad mat karo ehsaan jata kar aur takleef pohncha kar, us shakhs ki tarah jo apna maal logon ko dikhane ke liye kharch karta hai, aur woh Allah aur Aakhirat ke din par iman nahi rakhta hai, to us ki misaal aisi hai jaise ek chattaan ho, jis par kuch mitti ho, phir us par zor ki baarish barse to woh us ko bilkul saaf kar ke chhod de. Aise logon ko kuch bhi haasil nahi hoga us mein se jo unhon ne kamaya hai. Aur Allah kaafir qaum ko hidayat nahi deta. (264) Aur un logon ki misaal jo apne maal kharch karte hain Allah ki raza chaahne ke liye aur apne aap ko saabit qadam rakhne ke liye, ek aise bagh ki manind hai jo kisi oonchi jagah par ho, us par zor ki baarish aa jaye to woh apna phal doguna laaye, phir agar use zor ki baarish na bhi pohnche to halki phuwaar hi kaafi hai. Aur jo kuch bhi tum karte ho Allah us ko dekh raha hai. (265) Kya tum mein se koi yeh pasand kare ga ke us ke paas khajooron aur angooron ka ek bagh ho jis ke neeche se nahrein behti hon, us mein us ke wastey har qisam ke phal hon aur us par budhapa aa jaye, aur us ke bachchey abhi kamzor hon. Phir us par ek bagola aa jaye jis mein aag ho to woh baagh jal jaye? Isi tarah Allah tumhare liye aayaton ko khol kar bayan karta hai taake tum ghaur o fikr karo. (266)Surah: Baqarah .... Ruku: 36 .... Aayat: 261-266 .... Para: 3
Sadqa wa Infaaq Allah ko Bohat Pasand Hai. Jo log Khuda ka bakhsa hua maal Us ke naam par aur Us ki raah mein kharch nahi karte Woh un ko sakht napasand karta hai. Allah ne Quran Majeed mein ja-baja is ki taakeed ki hai ke Us ka ata kiya hua maal o daulat Us ki khushnoodi wa raza jo'ee ke liye kharch karte raho. Yahan is ki ahmiyat aur qadr o qeemat wazeh karte hue farmaya gaya hai ke is ki misaal us daney ki hai jis se saat baliyan nikalti hain aur har bali mein sau daney hotey hain yani ek ka badla saat sau balkay baaz dafa is se bhi kai guna ziyada diya jata hai.
Sadqa ke baad ehsaan jatana aur kisi bhi tarah takleef pohnchana ek aisa amal hai jo sadqa ka dushman hai aur us ko tabah o barbad kar ke rakh deta hai. Jo log aisa karte hain un se kaha gaya hai ke is se acha tha ke tum sadqa aur imdad ke bajaye chand meetha jumla bol detey aur ma'zarat kar lete, tum ne to samne wale ko dukh de kar apne kiye karaye par paani pher diya. Ye baat yahan misalon se bhi wazeh kar di gayi hai taake baat achchi tarah samajh mein aa jaye. Isi ke sath ye bhi wazeh kar diya gaya hai ke jo log is liye sadqa karte hain ke woh Khuda ko raazi karein aur apne dil o dimagh ko Khuda ke deen par mazbooti ke sath jama dein to Allah un ke maal o daulat mein be-tahasha barkat deta hai aur un ka bagh sada hara bhara rehta hai. Aur woh log jo sirf duniya ko dikhane ke liye sadqa karte hain un ka sadqa us barkat se mehroom rehta hai jis ka wada yahan Allah ne apne nek bandon se kiya hai. Allah jab chahe un ke bagh mein aag ka bagola bhej de jo un ke bagh ko jala kar raakh kar de aur woh hasrat o afsos ke sath haath malte reh jayein.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
(12 May 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment