Saturday, November 23, 2024

Noor-e-Quran 33 Saahib-e-Elm Wa Jism Taaloot

 

Kya tum ne un logon ko nahi dekha jo apne gharon se nikal gaye they maut ke dar se, aur woh hazaron ki tadad mein they. To Allah ne un se kaha keh mar jao, phir Us ne un ko zinda kar diya. Beshak Allah logon par bada fazl karne wala hai lekin aksar log shukr ada nahi karte. (243) Aur Allah ki raah mein qitaal karo aur jaan lo keh Allah sab kuch sunne wala, sab kuch janne wala hai. (244) Kaun hai jo Allah ko qarz-e-hasna de, to Woh us ko badha chadha kar us ke liye kai guna kar de, aur Allah hi ghatata aur barhata hai, aur tum sab Usi ki taraf lautaye jao ge. (245) Kya tum ne Musa ke baad, Bani Israel ke sardaron ko nahi dekha, jab unho ne apne nabi se kaha keh hamare liye kisi ko badshah muqarrar kar dijiye takeh ham Allah ki rah mein qitaal karein. Us ne kaha, kahin aisa na ho keh tum par qitaal farz kar diya jaye to tum qitaal na karo, woh bole, hamein kya hua hai keh ham Allah ki rah mein qitaal na karein halankeh ham hamare gharon se aur hamare bachchon se nikale gaye hain? Phir jab un par qitaal farz kar diya gaya to un ki ek qaleel tadad ke siva sab ne munh mor liya. Aur Allah zalimon ko khoob janne wala hai. (246) Aur un ke nabi ne un se kaha, beshak Allah ne tumhare liye Taaloot ko badshah muqarrar kiya hai. Woh bole, us ko ham par badshahat kaise mil sakti hai jabkeh ham us se ziyadah badshahat ke haqdar hain aur us ko to maal ki wusat bhi nahi di gayi hai? Us ne kaha, bilashuba Allah ne tumhare muqablah mein us ko chun liya hai aur usey Elm aur jism mein ziyadah farakhi ata ki hai aur Allah apni saltanat jis ko chahta hai ata karta hai. Aur Allah bari wusat wala, sab kuch janne wala hai. (247) Aur un ke nabi ne un se kaha, beshak us ki badshahat ki nishani yeh hai keh tumhare paas woh taboot aa jaye ga jis mein tumhare Rab ki taraf se taskeen ka saman hai aur Aal-e-Musa aur Aal-e-Haroon ki baqi mandah yadgarien hain, us ko farishte utha kar lainge, beshak us mein tumhare liye badi nishani hai, agar tum momin ho. (248)

Surah: Baqarah....Ruku: 32....Aayat: 243-248....Para: 2
Is ruku mein Bani Israel ke do ahem waqiat ka zikr hai. Ek ka mukhtasar zikr hai jabkeh doosra waqia qadre tafseel ke sath bayan hua hai. Yeh dono waqiat Allah ki rah mein jani wa mali qurbani ki zarurat wa ahmiyat ko bayan karte hain. Isi liye yahan darmiyan mein yeh bhi farmaya gaya hai “Aur Allah ki rah mein qitaal karo aur jan lo keh Allah sab kuch sunne wala, sab kuch janne wala hai. Kaun hai jo Allah ko qarz-e-hasna de, to Woh us ko badha chadha kar us ke liye kai guna kar de, aur Allah hi ghatata aur badhata hai, aur tum sab Usi ki taraf lautaye jao ge.”
Yahan is ruku mein mazkoor pehle waqia ke talluq se baaz logon ka khayal hai keh yeh Bani Israel ke waqia khurooj ki taraf ishara hai aur baaz ke mutabiq Bani Israel ki us abtar haalat ki taraf ishara hai jis ka zikr Sahifah Samoil mein hai. Doosra waqia Taurat mein maujood tafseelat ke mutabiq taqreeban ek hazar baras qabl Maseeh ka hai. Us waqt Samoil Nabi Bani Israel ke sarbarah they aur un ki halat bahut kharab thi. Charon taraf se dushman unpar hamla aawar they aur Amaleqah ne un ke aksar ilaqe un se chheen liye they balkey un ka woh taboot jise Taurat mein 'Khuda ka Sandooq' ya 'Khuda ke Ahad ka Sandooq' kaha gaya hai aur jis mein Musa (A) aur Haroon (A) ke khandan ke ybohat sare tabarrukat mehfooz they, Bani Israel ke dushmanon ne un se chheen liya tha.
Jab Allah ke Nabi ne yeh elan kia keh Allah ne Taaloot ko tumhara badshah muqarrar kiya hai to unho ne us ko qubool karne mein bahut pas o pesh se kaam liya. Taaloot ka naam Taurat mein 'Saul' aaya hai. Allah ne un ko elm aur jism ki daulat se mala mal kiya tha aur yeh woh cheezein hain jo insan ko aam logon se mumtaz karti hain aur us ko qaidana role ada karne mein madad deti hain. Allah ne Taaloot ki badshahat ke saboot ke taur par Bani Israel ko un ka sandooq ek khas andaz mein farishton ke zariye wapas kar diya. Is taboot numa sandooq ki wapsi ne Bani Israel ki tedhi kamar seedhi kar di aur woh phir se naye azm wa quwwat ke sath apne maqbooza ilaqe wapas lene ke liye tayyar ho gaye. Yeh waqia Taurat mein tafseel ke sath maujood hai.

By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi, Alig)
(7th April 2024) 


Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata


No comments:

Post a Comment

TANZEEL 2025 – DASTARBANDI CEREMONY

With gratitude to the Almighty, Jibreel International School proudly presents TANZEEL 2025, a momentous occasion celebrating the Dastarbandi...