Saturday, November 23, 2024

Noor-e-Quran 34 Taloot, Jaloot aur Dawud

 

Phir jab Taloot lashkar ko le kar nikla to us ne kaha, be shak Allah tumhein ek nahar ke zariye aazmane wala hai, chunancha jis ne us mein se pani pi liya wo mera sathi nahi aur jo us ko nahi chakhe ga to be shak wo mera sathi hai, siwae iske keh koi ek chulloo bhar pani apne hath se le. To un mein se thode logon ke siwa sab ne us se khoob piya. Phir jab wo aur jo us ke sath iman laye the nahar ke paar ho gaye to unho ne kaha, aaj hum mein Jaloot aur us ki faujon ka muqabla karne ki taqat nahi. Jo log ye guman rakhte the ke wo Allah se mulaqat karne wale hain. Unho ne kaha, kitni hi chhoti jamaten hain jo Allah ke hukm se badi jamaton par ghalib aayi hain. Aur Allah sabr karne walon ke sath hai. (249) Aur jab Jaloot aur us ki foaujon se un ka samna hua to unho ne dua ki, ae hamare Rab! Hum par sabr undel de aur hamein saabit qadam rakh aur kafir qauum ke muqabla mein hamari madad farma. (250) To unho ne Allah ke hukm se unhein shikast di aur Dawud ne Jaloot ko qatl kar diya aur Allah ne us ko badshahat aur hikmat ata ki aur us ko ilm bhi ata farmaya jitna us ne chaha. Aur agar Allah logon mein se baaz ke zariye baaz ko dafa na karta rehta to zameen yaqinan fasad se bhar jati, lekin Allah dunya walon par bada fazl farmane wala hai. (251) Ye Allah ki aayaten hain jo hum aap ko haq ke sath parh kar sunate hain aur be shak aap rasoolon mein se hain. (252) Ye sab rasool hain, in mein se baaz ko hum ne baaz par fazilat di hai. In mein wo bhi hain jin se Allah ne kalaam kiya aur baaz ko us ne darajaat mein buland kiya, aur hum ne Isa ibn Maryam ko waazeh nishaniyan di hain aur Rooh ul-Qudus se hum ne us ki taeed ki. Aur agar Allah chahta to in ke baad ke log aapas mein na ladte, is ke baad keh in ke paas waazeh nishaniyan aa chuki thin, lekin unho ne ikhtilaf kiya, to un mein se koi iman laya aur un mein se kisi ne kufr kiya, aur agar Allah chahta to wo aapas mein na ladte, lekin Allah karta hai jo Wo chahta hai. (253)

Surah: Baqarah .... Ruku: 33 .... Aayat: 249- 253 .... Para: 2/3
Jab Allah Ta'ala ne Taloot ko Bani Israel ka badshah muqarrar farma diya aur Samuel Nabi ne bilaakhir Bani Israel ke sardaron ko un ki badshahat aur qiyadat par razamand kar liya to ab woh Filistini lashkar ke muqable ke liye aage badhe magar Taloot ne jung se qabl apne sathiyon ka imtehan liya. Is imtehan mein zyadatar log naakam ho gaye aur unhon ne is lashkar se ladaai karne se inkar kar diya jis ka sardar Jaloot naam ka intehai mashhoor aur khatarnak aadmi tha. Taurat mein is ka naam Goliath aya hai. Jo Allah par iman rakhne wale the unhon ne kaha ke tadad asal cheez nahi hai, asal cheez Allah par iman hai. Jab koi jamat Allah ka naam le kar maidan-e-jung mein utarti hai to Allah Ta'ala apne izn se un ko kamyabi ata farmata hai aur aisa bohat martaba hua hai. Yehi baat baad mein musalmanon ke haq mein bhi samne aayi jab woh qaleel jamat ke sath Quraish ke muqabla mein maidan-e-Badr mein utre to Allah ne un ko isi tarah fath o nasrat se nawaza jis tarah Taloot ki fouj ko Jaloot ke muqable mein kamyabi ata farmayi.
Is muqable ki khaas baat yeh thi ke Allah ne is maidan-e-jung mein naujawan Dawud ke hathon zaalim Jaloot ko jahannam raseed kiya aur baad mein un ko mazeed ilm o hikmat aur quwwat o badshahat ata farmayi. Yahan Allah Ta'ala ne yeh baat wazeh farmayi hai ke "aur agar Allah logon mein se baaz ke zariye baaz ko dafa na karta rahata to zameen yaqeenan fasaad se bhar jati, lekin Allah duniya walon par bada fazl farmane wala hai." Yani baaz dafa aisa hota hai ke Allah apne nek bando ke zariye bure logon ka khatma karta hai aur duniya walon ko un ke sharr o fasaad se najat deta hai.
Aakhir mein bataya gaya hai ke Allah ne duniya mein bohat sare rasoolon ko bheja hai aur un mein se baaz ko baaz par aisi fazilat di hai jo sirf unhi ki khasiyat thi. Aur yeh bhi wazeh kiya gaya hai ke duniya mein jo log buraiyan kar rahe hain aur kufr o inkaar ki rawish par gaamzan hain is mein bhi Allah ki marzi aur hikmat shamil hai, agar Allah un ko is ke liye chhoot na deta to woh hargiz khuda ki duniya mein khuda ki nafrmani ka koi bhi kaam nahi kar sakte the. "Lekin Allah karta hai jo Woh chahta hai."
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi, Alig)
(14th April 2024) 

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...