Tum par koi gunah nahi hai, agar tum aisi aurton ko talaq do jin ko tum ne abhi haath na lagaya ho ya un ka mehr tak muqarrar na kiya ho, aur beharhal un ko kuch samaan de do, wusat wale par us ki haisiyat ke mutabiq aur tang dast par us ki haisiyat ke mutabiq ma'roof tareeqa se saaz o samaan dena hai, nek aadmiyon par yeh haq hai. (236) Aur agar tum unhen talaq do is se pehle keh tum unhen haath lagao aur tum un ke liye mehr muqarrar kar chuke the, to aadha ada karna hai us ka jo tum ne muqarrar kiya hai, magar yeh keh woh bakhsh dein ya woh mard bakhsh de jis ke haath mein nikah ki girah hai, aur agar tum bakhsh do to yeh taqwa ke ziyada qareeb hai, aur us fazeelat ko na bhoolo jo tumhare darmiyan hai. Yaqeenan tum jo kuch karte ho Allah us ko khoob dekhne wala hai. (237) Hifazat karo namazon ki aur darmiyani namaz ki, aur Allah ke huzoor aajizi karte hue khade rahao. (238) Phir agar tum khauf ki haalat mein ho to chalte chalte ya sawari par parh lo, phir jab aman ki haalat mein aa jao to Allah ko us tareeqe se yaad karo jaise Us ne tumhein sikhaya hai, jis ko tum nahi jante the. (239) Aur jo log tum mein se wafat pa jayen aur biwian chhor jayen woh apni biwion ke liye wasiyyat kar jayen ek saal tak kharcha dene ki aur un ko na nikalne ki, phir agar woh khud nikal jayen to tum par koi gunah nahi hai us mein jo kuch woh apni zaat ke maamle mein ma'roof tareeqa ke mutabiq karein. Aur Allah ghalba wala, hikmat wala hai. (240) Aur talaq yaftah aurton ko ma'roof tareeqa ke mutabiq kuch samaan dena hai, muttaqi logon par yeh haq hai. (241) Isi tarah Allah apni aayaat tumhare liye khol kar bayan karta hai taakey tum samjho. (242)Sura: Baqarah .... Ruku: 31 .... Aayat: 236- 242 .... Para: 2
Mutallaqah aurton ke taalluq se yahan mazeed hidayat mojood hain. Agar ek aadmi kisi aisi aurat ko talaq de jis ko us ne haath na lagaya ho aur us ka mehr bhi muqarrar na kiya ho to us par mehr ki adaigi lazim nahi hai magar thoda bohat saaz o samaan aur tohfa tahaaif de kar mamla khatam karna zaroori hai takey zindagi ka yeh kadwa mamla husn o khoobi ke sath apne anjam tak pahunche, aur yeh hukm deegar mutallaqah aurton ke liye bhi hai. Allah se darne waley neek musalmanon ke liye aisa karna lazim hai. Yeh baat hamare samaj mein bhi mashhoor o maroof hai ke jab kisi ka rishta tay hota hai aur shadi biyah ki baat shuroo hoti hai to dono taraf se tohfa tahaif ke len den ka silsila shuroo ho jata hai aur phir nikah ke moqa par bhi bohat sarey tohfey ka tabadla hota hai. Agar kisi wajah se nikah ka yeh pakiza rishta toot raha ho to aadmi ko is waqt bhi usi akhlaq aur mohabbat ka muzahira karna chahiye jo us ne shuroo mein kiya tha. Gareeb aadmi apni haalat ke mutabiq saaz o saman dega aur ameer aadmi apni haisiyat ke mutabiq dega. Aur agar kisi ne apni biwi se mulaqat to na ki ho magar us ka mehr tay ho chuka ho to us par aadhe mehr ki adaigi lazim hai. Yahan is taalluq se yeh bhi bata diya gaya hai ke dono hi fareeq apna haq chhod sakte hain. Biwi agar apna mehr maaf kar de to yeh bhi munasib hai aur agar shohar apna haq chhod kar poora mehr ada kar de to yeh aur bhi behtar baat hai.
Yahan is ruku mein namaz ke taalluq se yeh hidayat ki gayi hai ke us ki har haal mein hifazat karni chahiye aur darmiyani namaz ki bhi. Mufassireen ne aam tor par is se asr ki namaz murad li hai ke yeh waqt insanon ki intehai masroofiyat ka hota hai aur is waqt shadeed khatra hota hai ke insaan namaz se ghaafil ho jaye. Yahan haalat e khauf ki namaz ka bhi zikr hai ke insaan chalte phirte aur sawari mein bhi namaz ada kar sakta hai magar yeh namaz beharhal usi tarah ada ki jayegi jis tarah Allah ne apne bandon ko apne Nabi ﷺ ke zariye taaleem di hai aur namaz parhna sikhaya hai.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(31st March 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment