Friday, February 23, 2024

Noor-e-Quran 27 Allah ki madad qareeb hai

 Bani Isra'il se poochho, hum ne un ko kitni khuli hui nishaniyan di hain, aur jo koi Allah ki nemat ko badal daale, is ke baad keh woh us ke paas aa chuki ho to yaqinan Allah sakht saza dene wala hai. (211) Khush numa bana di gayi hai duniya ki zindagi un ke liye jinhon ne kufr kiya hai, aur woh un logon ka mazaq urate hain jo iman laye hain, halankeh jinhon ne taqwa ikhtiyar kiya woh Qiyamat ke din un se buland honge. Aur Allah jise chahta hai be hisaab rizq deta hai. (212) Log ek hi ummat the, phir Allah ne nabiyo ko basharat dene wale aur darane wale ke tour par bheja, aur un ke saath kitab nazil ki haq ke saath, taake logon ke darmiyan un mamlaat mein faisla kar de jin mein unhon ne ikhtilaf kiya hai. Aur is mein ikhtilaf nahi kiya magar un logon ne jin ko kitab di gayi, is ke baad keh un ke paas khuli hui nishaniyan aa chuki thee’n, aapas ki zid ki wajah se. Phir Allah ne apne hukm se un logon ko jo iman laye haq ke mamlaat mein hidayat di jis mein logon ne ikhtilaf kiya tha, aur Allah jis ko chahta hai seedhe raste ki taraf hidayat deta hai. (213) Kya tum ne guman kar rakha hai keh tum Jannat mein daakhil ho jao ge, halankeh abhi tum par woh haalaat nahi aaye hain jo tum se pehle walon par aaye the? Un ko sakhti aur takleef pahunchi aur woh is tarah hila daale gaye keh Rasool aur un ke saath iman lane wale pukaar uthe keh Allah ki madad kab aayegi? Sun lo! Be shak Allah ki madad qareeb hai. (214) Woh tum se sawal karte hain keh woh kya kharch karein? Keh do keh jo maal bhi tum kharch karo woh walidain aur rishte daaron aur yateemon aur miskeenon aur musafiron ke liye hai, aur khair ka jo bhi kaam tum karte ho yaqinan Allah us ko khoob jan'ne wala hai. (215) Tum par qitaal farz kiya gaya hai halankeh woh tumhare liye na-pasandidah hai. Aur ho sakta hai keh tum kisi cheez ko na-pasand karo aur wohi tumhare liye behtar ho, aur ho sakta hai keh tum kisi cheez ko pasand karo aur woh tumhare liye buri ho. Aur Allah hi janta hai aur tum nahi jante. (216)
Surah: Baqarah .... Ruku: 26 .... Aayat: 211-216 .... Para: 2
Yeh duniya ek aarzi qiyam gah hai magar is ka husn munkireen e Khuda ko aisa mas’hoor karta hai keh phir woh is ke jaal se kabhi aazad nahi ho paate hain. Allah Meherban hai aur woh lagataar insano par meherbaniyon ki baarish barsata rehta hai magar jo log Khuda ke ehsanaat ka badla na-farmani wa na-shukri se dete hain to phir un ki giraft bohat sakht hoti hai, Bani Isra'il ke waqiat mein is ko achchi tarah samjha ja sakta hai.
Duniya ki yeh zindagi bas ek imtehan hai. Asal zindagi aakhirat ki zindagi hai. Duniya mein insan jis qadar Khuda ki farman-bardari karega usi qadar us ki aakhirat ki zindagi behtar hogi. Jo log Allah ko nahi mante aur paighambrana ta'limat se rishta nahi rakhte woh is haqeeqat ko samajh nahi sakte hain. Aadam ki aulad ibtida mein ek hi ummat thin, dheere dheere ikhtilafat aur tafriqat paida hoti chali gain. Baar baar nabi aate rahe aur logon ko samjhaate rahe magar insano ka ek bada tabqa aapasi adawat aur hasad wa raqabat ki wajah se hidayat se mahroom raha.
Yeh duniya ibtala wa aazmaish se bhari hui hai aur is ka samna mukhtalif suraton mein sab ko karna parta hai. Yahan bataya gaya hai keh nabiyo ke sath rehne wale nek insano ko bhi Allah ne aazmaya hai keh jannat jaisi azeem nemat ke haqdar sirf farman-bardar wa parhezgar log hi hosakte hain. Baaz dafa Allah ke nek bando ko shadeed tareen aazmaishon se bhi guzarna pada hai magar sach baat yeh hai keh Allah ki madad hamesha qareeb rehti hai aur Woh munasib waqt par apne bando ki madad karta aur un ko raahat naseeb farmata hai.
Yahan is ruku mein infaaq aur qitaaal ke talluq se bhi hidayat di gai hain aur bataya gaya hai keh baaz dafa tum ko koi cheez achchi lagti hai magar woh tumhare liye buri hoti hai aur kabhi koi cheez bohat buri mehsoos hoti hai magar usi mein khair chhupa hua hota hai. Har cheez ki haqeeqat sirf Allah jaanta hai, tum nahi jaante.
By: Dr Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(18 February 2024)


No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...