Monday, February 5, 2024

Noor-e-Quran 25 Hajj aur Umrah Allah ke liye

 Woh tum se sawal karte hain naye chand ke bare mein. Keh do ke woh insano ke liye aur hajj ke liye waqt ki alamaten hain. Aur neki yeh nahi hai ke tum gharo mein un ke pichwade se aao balkay neki us ki hai jis ne taqwa ikhtiyar kiya. Aur gharo mein un ke darwazon se aao aur Allah se darte raho taake tum kamiyab ho jao. (189) Aur Allah ki raah mein un se laro jo tum se larte hain, aur ziyadti na karo, beshak Allah ziyadti karne walon ko pasand nahi karta. (190) Aur unhein maaro jahan bhi pao aur unhein wahan se nikalo jahan se unho ne tum ko nikala hai, aur fitna qatl se bhi barh kar hai. Aur masjid e haram ke paas un se na laro yahan tak ke woh khud tum se wahan larein, phir agar woh tum se larein to tum bhi unhein maaro. Kafiron ki yehi saza hai. (191) Phir agar woh baaz aa jayein to beshak Allah bakhshne wala, reham farmane wala hai. (192) Aur un se laro yahan tak ke koi fitna baqi na rahe aur deen Allah ka ho jaye, phir agar woh baaz aa jayein to kisi par koi sakhti nahi hai siwaye zalimon ke. (193) Hurmat waley mahine ka badla hurmat wala mahina hai, aur hurmato ka bhi qisas hai. Phir jo koi tum par ziyadti kare to tum bhi us par usi tarah ziyadti karo jaise us ne tum par ziyadti ki hai. Aur Allah se darte raho, aur jaan lo ke Allah muttaqion ke sath hai. (194) Aur Allah ki raah mein kharch karo aur apne hathon se khud ko halakat mein na daalo, aur achchey kaam karo, beshak Allah achchey kaam karne walon ko pasand karta hai. (195) Aur poora karo hajj aur umrah Allah ke liye. Phir agar tum rok diye jao to jo qurbani mein se muyassar ho woh karo aur apne sar na mundao yahan tak ke qurbani ka janwar apni jagah par pahunch jaye. Phir jo koi tum mein se bimar ho ya us ke sar mein koi takleef ho to woh fidya de roza ya sadqa ya qurbani ka. Phir jab tum aman mein ho to jo koi umrah se le kar hajj tak tamattu kare woh jo qurbani muyassar ho pesh kare, aur jo na kar paye woh hajj ke dauran teen din roze rakhe aur saat din jab tum wapas aao, yeh poorey das howe, yeh us ke liye hai jis ka khandan masjid e haram ke paas aabad na ho. Aur Allah se darte raho, aur jaan lo ke Allah sakht saza dene wala hai. (196)
Surah: Baqarah .... Ruku: 24 .... Aayat: 189- 196 .... Parah: 2
Hajj aur umrah Allah ko nihayat mehboob hain. Umrah saal ke kisi bhi hisse mein ada kiya ja sakta hai magar hajj ke liye makhsoos ayyaam hain. Allah Ta'ala ne Ibrahim A.S ko tameer e Kaaba ke baad hukm diya tha ke woh Allah ke bandon ko Allah ke ghar ki dawat dein taake woh yahan aayein aur hajj wa umrah ke zariye woh saadateyn hasil karein jo sirf unhi logon ko haasil ho sakti hain jo khana Kaaba mein haziri lagayein aur woh khaas ibadat karein jo Allah ne apne khaas bandon ke liye muqarrar ki hain.
Yahan chand ke talluq se sawal par yeh bhi bataya gaya hai ke hajj aur deegar ibadat wa mamoolat ke liye yehi andaza aur alamat hai. Allah Ta'ala ne is ke zariye insano ko waqt muqarrar karne ki aasani faraham ki hai. Isi ke saath yahan un mushrikeen se qitaal ka bhi hukm diya gaya hai jinhon ne musalmanon par be-inteha zulm kiya tha aur Rasool Allah S.A.W aur un ke saathiyon ko majboor kar diya tha ke woh mubarak shehar Makkah se nikal kar doosrey muqamat ki taraf hijrat karein balkay is ke baad bhi woh un ki janon ke dushman bane rahe aur Madina tak pahunch gaye taake woh musalmanon ka naam o nishan mita kar rakh dein. Allah ne musalmanon ko hukm diya ke ab woh in ke khilaf khadey ho jayein aur unhein us anjaam tak pahuncha dein jo Allah ne un ke liye tay kar diya hai, lekin yahan bhi aam insanon ka khayal rakhne aur un ko nuqsan na pahunchane ka hukm bohot saaf lafzon mein diya gaya hai. “Aur Allah ki raah mein un se larh jo tum se larte hain, aur ziyadti na karo, beshak Allah ziyadti karne walon ko pasand nahi karta.“
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(4 February 2024)


No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...