Thursday, February 1, 2024

Noor-e-Quran 24 Rozah, Ramazān aur Qur'ān

 Aye logo jo īmān laye ho! Tum par rozah farz kiyā gaya hai jis tarah un logon par farz kiyā gaya thā jo tum se pehle they tākay tum taqwā haasil karo. (182) Ginti ke chand din hain. Phir jo tum mein se bīmār ho ya safar mein ho to woh doosre dinon mein ginti poori kar le. Aur un logon par jo is ki taaqat rakhte hain fidyah ek miskīn ka khānā hai. Phir jo koi khushi se mazeed neki kare to woh us ke liye behtar hai. Aur yeh keh tum rozah rakho, yeh tumhare liye behtar hai agar tum jānte ho. (183) Ramazān ka mahīnah woh hai jis mein Qur'ān nāzil kiyā gaya, jo logon ke liye hidāyat hai aur us mein hidāyat aur farq karne wāle roshan dalaail hain, to tum mein se jo koi is mahīne ko pāye woh is mein zaroor rozah rakhe. Aur jo koi mareez ho ya safar mein ho to doosre dinon mein ginti poori kar le. Allāh tumhare liye āsānī chāhtā hai, woh tumhare sāth sakhti nahīn karnā chāhtā aur tākay tum ta'adad poori karo aur tum Allāh ki badā'ī karo us par jo us ne tumhein hidāyat di hai aur tākay tum us ke shukar guzār bano. (184) Aur jab mere bandey tum se mere bāre mein sawāl karein to be shak Mein qareeb hoon. Mein pukārne wāle ki pukār ka jawāb detā hoon jab woh mujhe pukārtā hai. To unhein chāhiye ke woh mera hukm mānein aur Mujh par īmān rakhein tākay woh sahīh rāh par rahein. (185) Tumhāre liye rozay ki raat mein apni biwiyon ke paas jānā halāl kar diyā gayā hai. Woh tumhāre liye libās hain aur tum un ke liye libās ho. Allāh ko ilm thā ke tum apne āp se khiyānat kar rahe they to Us ne tum par ināyat ki aur tum ko muaaf kar diyā. To ab tum un se mubāshirat karo aur Allāh ne jo tumhāre liye likh diyā hai usay talāsh karo. Aur khāo piyo yahān tak keh fajr ki safed dhārī tumhāre liye siyāh dhārī se khoob zāhir ho jāye. Phir raat tak rozah poorā karo, aur un se mubāshirat na karo jab tum masjid mein i'tikāf mein ho. Yeh Allāh ki hade’n hain to un ke qareeb na jāo. Isi tarah Allāh apni āyaten khol kar bayān kartā hai tākay woh taqwā ikhtiyār karein. (186) Aur tum āapas mein ek doosre ke māl bātil tareeqay se na khāo aur na un ko hākimōn tak pahunchāo tākay logon ke mālon mein se ek hissah gunāh ke sāth khā jāo, hālānki tum is ko jānte ho. (187)
Sūrah: Baqarah .... Rukū': 23 .... Āyat: 183- 188 .... Pārah: 2
Rozah ek aham ibādat hai. Taqwā, parhezgārī aur Khudā se wafā shi'ārī ki rāh mein yeh be had madadgar sabit hota hai. Allāh Ta'ālā ne musalmānon se pehle doosri qaumon ko bhi rozah ka hukm diyā thā. Musalmānon ko hukm diyā gayā hai ke woh Ramazān ke mahīne mein rozah rakhein. Ramazān mein is liye ke yehi woh mahīnah hai jis mein Qur'ān nāzil huā hai. Insānī duniya mein nuzool-e-Qur'ān ek aham tareen wāq'iah hai. Ramzān ki jis raat mein yeh nāzil huā hai Allāh ne usay hazāar mahinon se behtar o afzal raat qarār diyā hai. Insān ki zindagi mein hidāyat o rahnumā'ī sab se aham cheez hai. Jis ko hidāyat mil gayi woh kāmyāb ho gaya aur jo hidāyat se mehroom rahā woh har khair o falāh se mehroom ho gaya aur hidāyat Allāh ne Qur'ān ke andar rakh kar isay qiyāmat tak ke liye mehfūz kar diyā hai. Yehi wajah hai ke musalmānon ko yeh hukm diyā gayā hai ke woh Ramazān mein rozay rakhā karein. Is rukū' mein is talluq se deegar aham hidāyat bhi di gayi hain.
Yahān darmiyān mein ek khās baat yeh bhi batai gayi hai ke jo log Khudā'e kāīnāt ko dhūndte aur Us ke bāre mein poochte rehte hain unhein maloom honā chāhiye ke Allāh bilkul qareeb hai. Woh insānon ki har hālat se poori tarah bākhabar hai aur woh jab bhi Us ko āwāz dete hain Woh us ko suntā bhi hai aur jawāb bhi detā hai. Insānon ko bhi chāhiye ke woh Khudā ki har baat mānein aur Us par poorā bharosa rakhein. Bhalā'ī aur kāmyābī hasil karne ka yehi rastah hai.
By: Dr. N Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
(28 January 2024)



No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...