Ab jo bewaqoof log hain woh kahenge keh kis cheez ne un logon ko iss qibla se pher diya jis par woh they. Keh do mashriq aur maghrib Allah hi ke hain, Woh jis ko chahata hai seedhe raaste ki taraf hidayat deta hai. (142) Aur isi tarah hum ne tumhein ek mutawassit ummat banaya hai taakeh tum logon par gawah ho jao aur Rasool tum par gawah hon. Aur jis qibla par tum they hum ne uss ko sirf iss liye thehraya tha taakeh humein maloom ho keh kaun Rasool ki ittiba karta hai aur kaun uss se ulte paon phir jata hai. Be-shak woh bahut bari baat thi magar un logon ke liye nahi jin ko Allah ne hidayat di. Aur Allah kabhi aisa nahi keh woh tumhare iman ko zaya karde, be-shak Allah logon ke saath bada shafqat karne wala nihayat raham farmane wala hai. (143) Yaqinan hum tumhare chehre ka bar bar aasman ki taraf uthna dekh rahe hain to hum tum ko uss qibla ki taraf zaroor pher denge jis ko tum pasand karte ho, to tum apna rukh Masjid-e-Haram ki taraf kar lo. Aur tum log jahan kahin bhi ho, tum apne chehron ko ussi ki taraf karo. Aur bila-shuba jin logon ko kitab mili hai un ko maloom hai keh yahi un ke Rab ki janib se haq hai aur Allah uss se ghaafil nahi hai jo woh kar rahe hain. (144) Aur agar tum un logon ke paas jinhen kitab di gayi hai tamam nishaniyan bhi le aao tab bhi woh tumhare qibla ki pairwi nahi karenge aur na tum un ke qibla ki pairwi kar sakte ho, aur na un mein se baaz baaz ke qibla ki pairwi karne wale hain. Aur agar tum ne un ki khwahishon ki pairwi ki uss ilm ke baad jo tumhare paas aa chuka hai to bila-shuba tum zalimon mein se ho jaoge. (145) Jin logon ko hum ne kitab ataa ki hai woh iss ko bilkul aise hi pehchante hain jaisa woh apne beton ko pehchante hain. Aur yaqinan un mein se ek group aisa hai jo haq ko chhupa raha hai halanki woh iss ko janta hai. (146) Yehi haq hai tumhare Rab ki taraf se, to tum hargiz shak karne walon mein se na hona. (147)
Surah: Baqarah .... Ruku: 17 .... Ayat: 142-147 .... Para: 2Milat-e-Ibrahimi ka haqeeqi qibla Khana Ka'bah hi hai jise Allah ke hukm se khud Ibraheem Alaihissalam ne apne bete Ismaeel Alaihissalam ke saath tameer kiya tha. Baad mein Bani Israel Khana Ka'bah ke saath qibla haqeeqi se bhi door hote chale gaye aur Bait-ul-Muqaddas ko apna qibla bana liya balki Yahood ne maghrib aur Nasara ne mashriq ki taraf rukh karke ibadat karna munasib jana. Jab Allah Ta'ala ne Muhammad Rasool Allah SAW ke zariye duniya ke samne sare haqaiq pesh kar diye aur elaan kardiya ke asal deen milat-e-Ibrahimi hai to yeh bhi wazeh ho gaya keh ab bahut jald qibla haqeeqi Khana Ka'bah ki haqeeqat ka elaan bhi kar diya jaega. Yehi wajah hai keh Nabi Akram SAW ko iss baat ka bechaini se intezaar rehne laga tha keh kab Khana Ka'bah ko qibla qarar diya jaega aur issi liye un ka chehra bar bar aasman ki taraf uthne laga tha keh kisi bhi waqt Jibreel Alaihissalam tahweel e qibla ka paigham le kar aayenge.
Yeh baat maloom hai keh Nabi SAW Madina ke ibtida'i daur mein jab namaz padha karte they to un ka rukh Bait-ul-Muqaddas ki taraf hota tha keh yehi hukm-e-Ilahi tha. Jab Allah ne Masjid Haram ko qibla qarar de diya to tamam musalmanon ne namaz ke liye apna rukh Khana Ka'bah ki taraf kar liya. Allah ne shuru hi se Khana Ka'bah ko qibla qarar kyun nahi diya tha yahan iss ki wazahat kar di gayi hai keh jin ke dilon mein Khana Ka'bah ki azmat baithi hui thi un ke liye Bait-ul-Muqaddas ki taraf rukh karke namaz padhna aasan nahi tha aur jin ke liye Bait-ul-Muqaddas aham tha un ke liye yeh baat nihayat takleef deh thi keh woh Bait Allah Al-Haram ki taraf rukh karke namaz padhein. Woh kaun log hain jo apne jazbaat o mehsoosat ko ahmiyat dete hain aur woh kaun log hain jin ke nazdeek Allah ka hukm sab se zyada aham hai, tahweel qibla ke hukm se yeh bhi achchi tarah wazeh hogaya.
Yahan iss ruku mein tabdeeli qibla ke hukm se pehle iss ke reactions ka zikr huwa hai keh yeh ek bahut bada hukm tha jiss ke nazil hone ke baad woh mukhalifeen jo darasal nihayat bewaqoof log hain bahut zyada ulti seedhi baatein banane wale they. Haqeeqat yehi hai keh Allah jis ko chahata hai seedhi raah dikha deta hai. Yahan iss ruku mein Allah Ta'ala ne ummat-e-Muslima ko mutawassit, mu'tadil aur behtareen ummat qarar dete hue farmaya hai keh tum hi ho jo sahih raaste par ho aur dunya tumhi ko dekh kar apna rasta theek karegi iss liye hamesha Allah wa Rasool SAW ke saath raho. Muhammad Rasool Allah SAW hi tumhare rehbar o rehnuma hain aur tum ko hamesha unhi ke naqsh-e-qadam par chalte rehna hai. Khana Ka'bah hi Rasool Allah SAW ka qibla tha aur wohi tamam musalmanon ka qibla hai.
By: Dr Noorus Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
(17th December 2023)
No comments:
Post a Comment