Sunday, December 31, 2023

Noor-e-Quran 20 Sabr aur Namaz ke zariye Madad mango!

 

Ae iman walo! Sabr aur namaz ke zariye madad mango, be-shak Allah sabr karne walon ke sath hai. (153) Aur jo log Allah ki raah mein mare jate hain un ko murda mat kaho balkay woh zinda hain, lekin tum samajh nahi sakte. (154) Aur hum zaroor tum ko azmainge kuch khauf aur bhook se, aur malon aur jaanon aur phalon ke nuqsan se. Aur sabr karne walon ko khush khabri de do. (155) Jinhain jab kabhi koi museebat aati hai to kehte hain ke be shak hum Allah ke hain aur yaqeenan hum usi ki taraf lautne wale hain. (156) Yehi log hain jin par un ke rab ki enayatien hain aur rehmat hai aur yehi log hidayat yafta hain. (157) Be shak Safa aur Marwah Allah Ta'ala ki nishaniyon mein se hain, to jo koi baitullah ka hajj kare ya umrah kare to us par koi harj nahi ke un ka tawaf kare. Aur jo koi khushi se neki kare to Allah qadrdaan hai, sab kuch jan'ne wala hai. (158) Bilashuba jo log hamari utari hui khuli daleelon ko aur hidayat ko chhupate hain, is ke baad ke hum ne us ko logon ke liye kitab mein khol kar bayan kar diya hai to wohi log hain jin par Allah lanat karta hai aur tamam lanat karne wale bhi un par lanat karte hain. (159) Albattha jin logon ne tauba kar li aur islah kar li aur khol kar bayan kar diya to Main aise logon ki tauba qubool karta hoon aur Main tauba qubool karne wala reham karne wala hoon. (160) Yaqeenan jin logon ne kufr kiya aur is haal par mare ke woh kafir they to wohi log hain jin par Allah ki, Farishton ki aur tamam logon ki lanat hai. (161) Woh hamesha isi haal mein rahenge, na un se azab halka kiya jayega aur na unhen dheel di jayegi. (162) Aur tum sab ka ma’bood ek hi ma’bood hai, Us ke siwa koi ma’bood nahi, Woh bara meharban hai, bohat reham karne wala hai. (163)
Surah: Baqarah .... Rukoo: 19 .... Ayat: 153- 163 .... Parah: 2
Khuda-e-Rehman o Raheem apne bandon ko aazmaishon se zaroor guzarta hai ke Woh un ko is duniya mein aazmaish hi ke liye bhejta hai, phir jab woh ibtila o aazmaish se kamyaab hokar nikalte hain to Woh un ko be tahaasha nawazta hai aur dunya o akhirat ki bhalaiyan un ko ataa karta hai, lekin Woh un ko duniyawi aazmaish mein tanha aur be yaar o madadgar nahi chhodta balkay un ko woh nuskha-e-kimiya bata deta hai jis ke zariye woh apne imtehan mein aasani se kamyaabi hasil karsakte hain. Har insaan apne Rab ki madad aur Us ka saath hasil kar sakta hai aur woh yeh kaam namaz aur sabr ke zariye kar sakta hai. "Ae iman walo! Sabr aur namaz ke zariye madad mango, be-shak Allah sabr karne walon ke sath hai."
Khauf o bhook, jaanon, malon aur phalon ka nuqsan insani zindagi ki bohat badi aazmaishain hain magar yeh us ke liye aasan ho jati hain jo un ko sabr o shukr ke sath bardasht karta hai aur Khuda-e-Kainaat ke samne sar aur dil jhuka kar apne aap ko Us ke hawale kardeta hai. Kisi insaan ka jo sab se bara nuqsan is duniya mein ho sakta hai woh us ki zindagi ka nuqsan hai magar raah-e-Khuda mein marne walon ka is mein bhi bara faida hai. Allah ne un ko murda kehne se bhi mana kardiya hai ke Allah ki raah mein apni jaan ganwane wale murda nahi hote, un ko un ke Rab ki janib se ek khas zindagi ataa ki jati hai aur un par un ke Rab ki janib se rehmaton ki khas barsaat hoti hai. Neik musalmanon ka Shewa yeh hai ke woh badi se badi museebat Khuda ki khatir bardasht kar lete hain.
Yahan is rukoo mein yeh bhi wazeh kiya gaya hai ke Safa aur Marwah Allah ki khas nishaniyon mein se hain. Mushrikeen ne in pahariyon par but rakh diye they. Allah Ta'ala ne wazeh farma diya ke mushrikeen ki bad-aamaliyon se sha'airAllah ki haqeeqat tabdeel nahi hoti hai is liye musalmanon ko hajj o umrah ke waqt in ka chakkar lagana hai aur apne Nabi (S) ki sunnaton ke mutabiq hajj o umrah ke arkaan ada karne hain. Yahan un logon par lanat o malamat ka zikar bhi hai jinhon ne in sha'air ko kharab karne aur kufr o shirk ka irtikab karne ya un ki haqeeqat duniya walon se chhupane ki koshish ki hai.
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(31 December 2023)



No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...