Sunday, December 10, 2023

Noor-e-Quran 14 Bani Israel Ki Andhi Dushmani

 


Ae Imaan Walon! tum 'Ra'ina' na kaha karo 'Unzurna' kaha karo aur ghaur se suno. Aur kafiron ke liye dardnaak azaab hai. (104) Ahl-e-Kitab mein se jin logon ne kufr kiya woh nahin chahte aur nah mushrikeen ke tumhare oopar tumhare Rab ki taraf se koi bhalai nazil ho. Aur Allah jis ko chahta hai apni rehmat ke liye khaas kar leta hai. Aur Allah bade fazl wala hai. (105) Jo koi aayat hum mansookh kar dete hain ya faramosh kara dete hain to us se behtar ya us ke misl doosri le aate hain. Kya tum nahin jaante ke Allah har cheez par qudrat rakhta hai. (106) Kya tumhein nahin maloom ke Allah hi ke liye hai aasmanon aur zameen ki badshahat. Aur tumhare liye Allah ke siwa na koi dost hai aur na koi madadgar. (107) Kya tum chahte ho ke tum apne Rasool se us tarah ke sawal karo jis tarah ke sawal us se pehle Musa se kiye gaye aur jo koi imaan ko kufr se badal lega woh yaqinan seedhi raah se bhatak gaya. (108) Ahl-e-Kitab mein se aksar log chahte hain ke woh tumhein tumhare imaan ke baad phir se kaafir bana dein, mehaz apne hasad ki wajah se, is ke bawajood ke haq un par achchi tarah waazeh ho chuka hai, to darguzar karo aur nazar andaz karo yahan tak ke Allah ka faisla aajaye. Be shak Allah har cheez par qudrat rakhta hai. (109) Aur namaz qaaim karo aur zakat ada karo aur jo bhalai bhi tum apne liye aage bhejo ge us ko tum Allah ke paas paoge. Yaqinan Allah us ko dekh raha hai jo tum log kar rahe ho. (110) Aur unhon ne kaha ke jannat mein hargiz daakhil nahi hoga magar woh jo Yahudi ho ya Nasrani ho. Yeh mehaz un ki aarzooain hain. Un se kaho ke is baat par apni daleel pesh karo agar tum sachchey ho. (111) Balkey jis ne apna chehra Allah ke liye jhuka diya aur woh theek tarah se amal karne wala hai to us ke liye us ke Rab ke paas us ka ajr hai. Aur aise logon ko na koi khauf hoga aur na woh ghamgeen honge. (112)
.... Surah: Baqarah .... Ruku: 13 .... Aayat: 104- 112 ....
Bani Israel ko yeh baat pehle roz hi pasand nahin aayi ke Allah ne apne aakhri Nabi ﷺ ko deen e kamil ke saath Bani Israel ke bajaye Bani Ismaeel mein mab'oos farmadiya. Yeh baat un ke liye shadeed hasad, kurhan aur andhi dushmani ka baais bani aur is ka izhar lagataar un ke aamaal se hota raha. Bani Israel jo Nabiyo ka gharana tha, us ka haq tha ke woh Allah ke Nabi aur Us ke kalam ko sab se pehle pehchante aur doosron se pehle aage barh kar is par iman late magar unhon ne is ka har muhaaz par inkaar kiya aur mukhalifat o munafiqat ki nihayat badtareen misalein qaim ki. Un ka bas nahin chalta tha ke woh kis tarah apna gussa nikaalein. Woh Rasool Ullah ﷺ ki majlis mein ja baithte aur wahan aise jumle istemal karte jis ka dohra matlab hota aur woh apni danist mein Tauheen-e-Rasool ka irtikab kar ke khud ko shabashi dete. Allah Ta'ala ne un ki shararaton ka pardah faash kardiya aur Musalmanon ke liye un alfaaz ka istemal mamnoo kardiya jin ke zariye woh tazleel e Risalat Maab ﷺ ki koshish karte the.
Bani Israel ki ek badi ghalat fehmi yeh bhi thi ke woh samajhte the ke Jannat sirf unhi ke liye khaas hai. Wahan sirf Yahudi aur Nasrani hi daakhil hosaken ge. Allah ne farma diya ke yeh mehaz un ki aarzooen hain. Un se kaho ke is baat par apni daleel pesh karo agar tum sachhcey ho."

Dr. Sabah Ismail Nadwi Alig
19th November, 2023.

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...