Aur yaqeenan hum ne Musa ko kitab ata ki aur is ke baad hum ne pey dar pey rasool bheje, aur hum ne Isa bin Maryam ko roshan daleelen dien aur muqaddas Rooh se us ki madad ki. To jab bhi koi rasool tumhare paas who baten le kar aaya jo tumhari khwahishon ke khilaf thee’n to tum ne takabbur kiya. Chunanchah baaz ko tum ne jhutlaya aur baaz ko qatl karte rahe. (87) Aur unho ne kaha ke humare dil ghilaaf mein band hain, balke Allah ne in ke kufr ki wajah se in par laanat kar di hai, is liye woh kam hi iman late hain. (88) Aur jab un ke paas ek kitab Allah ki taraf se aa gayi jo us ki tasdeeq karne wali hai jo un ke paas hai aur woh is se pehle kafiron per fatah manga karte the, phir jub un ke pass who cheez aai jis ko who pehchan bhi gaye toh unho ne uska inka kar diya, pus Allah ki laanat hai kufr karne walon par. (89) Bohat buri hai woh cheez jis ke badle unho ne apni jaanon ko bech dala hai, ke woh us cheez ka inkaar kar rahe hain jo Allah ne utari hai, mahaz is zidd ki bina par ke Allah apna fazl apne bandon mein se jis par chahey naazil farmata hai. Toh woh Allah ke ghazab dar ghazab ke mustahiq hue aur kafiron ke liye ruswa karne wala azaab hai. (90) Aur jab un se kaha jata hai ke us par iman lao jo Allah ne nazil kiya hai, to woh kehte hain ke hum us cheez par iman rakhte hain jo hum par nazil ki gai hai aur woh us ke ilawa ka inkaar karte hain halanke woh haq hai aur us ki tasdeeq karti hai jo un ke paas hai. Un se kaho, phir tum Allah ke nabyon ko is se pehle kyun qatl karte rahe ho agar tum iman waley ho. (91) Aur yaqeenan Musa tumhare paas roshan daleelen le kar aaya. Phir tum ne us ke baad bachhde ko mabood bana liya aur tum zulm dhaaney waley log ho. (92) Aur jab hum ne tum se pukhta ahad liya aur tumhare upar toor ko uthaya ke jo kuch hum ne tum ko diya hai, us ko mazbooti ke sath pakro aur suno. Unho ne kaha, hum ne suna aur hum ne nahi mana. Aur un ke kufr ke sabab se bachhda un ke dilon mein rach bas gaya. Un se kaho ke kia hi buri hai woh cheez jis ka tumhara iman tum ko hukm deta hai, agar tum iman waley ho. (93) Un se kaho, agar aakhirat ka ghar Allah ke nazdeek sirf tumhare liye khaas hai, tamam logon ko chhod kar, to maut ki tamanna karo agar tum sachchey ho. (94) Aur woh hargiz kabhi is ki tamanna nahi karenge apne kartoot ki wajah se jo unho ne aage bhej rakhe hain, aur Allah zalimon ko khoob janta hai. (95) Aur tum in ko zindagi ka sab se ziyada harees paoge, un logon se bhi ziyada jo mushrik hain. In mein se har aik chahta hai ke us ko hazaar saal umr mile halanke agar yeh umr bhi un ko mile to bhi woh apne aap ko azaab se bachane waley nahi ban sakte, aur Allah dekh raha hai jo kuch yeh amal kar rahe hain. (96)
.... Soorah: Al-Baqarah .... Ruko: 11 .... Ayat: 87-96 ....
Aulad-e-Yaqoob, Bani Israel par Allah ne be-tahasah fazl farmaya aur un par in'amat o ikramat ki aisi barsat ki jo be-misal hai magar ehsanat-e-Ilahi ke jawab mein Bani Israel ka jo rawaiya raha woh ehsan faramoshi aur na-farmaani ki bad-tareen misal hai.
Allah Ta'ala ne Musa(A) se Isa (A) tak bohat se rasoolon ko in ki rehnumai ke liye bheja aur woh nabiun ki bhi na-qadri karte rahe yahan tak ke un ka qatl e na-haq ka irtekab bhi karte rahe. Un ka her nabi un ko aakhiri Nabi (S) ke barey mein batata raha aur woh khud bhi un ka musalsal intizar karte rahe magar jab woh Nabi Ummi (S) kamil hidayat le kar Bani Isma'il mein aa gaye to unho ne us ko pehchanne ke baad bhi maanne se inkaar kar diya balkey us ki mukhalifat mein dusron se aage barh gaye. Is ke bawajood in ka daawa hai ke akhirat mein Jannat ke haqdaar sirf yehi log hain. Agar yeh sach hai to in ko maut ki tamanna karni chahiye lekin yeh bad'amal log apne kartoot ki wajah se hargiz maut ki tamanna nahi kar sakte. In ko khoob maloom hai ke aage in ke sath kya hone wala hai."
By: Dr N Sabah Ismail Nadvi Alig.
(5 November 2023)
No comments:
Post a Comment