Aur jab hum ne Bani Israel se pukhta wa'da liya ke Allah ke siwa kisi ki ibadat nah karna aur achha sulook karna walidain ke sath, aur qarabat daron, yateemon aur miskeenon ke sath. Aur logon se achhi baat kehna aur namaz qaim karna aur zakat dena. Phir tum is se phir gaye siwaaye thore logon ke. Aur tum munh morne wale log ho. (83) Aur jab hum ne tum se pukhta wa'da liya ke apnon ka khoon nah bahana aur apne logon ko apni bastiyon se nah nikalna. Phir tum ne iqrar kiya aur tum is ke gawah ho. (84) Phir tum hi woh ho ke apnon ko qatl karte ho aur apne hi ek firqa ko in ke gharon se nikalte ho. In ke khilaf gunah aur ziyadti kar ke in ke dushmanon ki madad karte ho. Phir agar woh tumhare paas qaid ho kar aate hain to tum in ka fidya ada karte ho, halanke in ka nikalna hi tumhare oopar haram tha. Kia tum kitab ke kuch hisse par iman rakhte ho aur is ke kuch hisse ka inkar karte ho? To jo log tum mein se aisa karte hain un ki saza duniya ki zindagi mein ruswai ke siwa aur kuch nahin aur qiyamat ke din woh shadeed tareen azab mein daale jayenge. Aur Allah is cheez se be-khabar nahin hai jo tum kar rahe ho. (85) Yeh woh log hain jinhon ne duniya ki zindagi ko aakhirat ke badle mein khareed liya hai to nah in ka azab halka kiya jayega aur nah in ko koi madad pohnchegi. (86)
... Surah: Baqarah ... Ruku: 10 ... Ayat: 83- 86 ...
Allah ne Bani Israel par jo meharbaniyon ki baarish ki aur unhon ne nihayat pukhta wa'don ke baad bhi jo man-maniyan aur be-wafaiyan kiin un ka zikr chal raha hai. Allah ne un se wa'da liya tha ke woh Allah ke siwa kisi ki ibadat wa itaat nahin karenge, walidain ke sath aur rishta daron, yateemon aur miskeenon ke sath husn-e-sulook karenge. Logon ke sath achhi baat karenge, namaz qaim karenge aur hamesha zakat dete rahenge. Unhon ne Allah se wa'da to kiya magar is ko puri tarah nibha nah sake. Bas kuch hi log the jinhon ne apna wa'da nibhaya.
Allah ne un se yeh ahad bhi liya tha ke kabhi apnon ka khoon nah bahana aur nah kabhi un ko apni basti se nikalna. Yeh wa'da bhi woh bhool gaye. Woh aapas mein khoon bhi bahate aur ek doosre par ziyadti karke in ke dushmanon ki madad bhi karte. Phir yeh bhi hota ke in ka koi sathi qaid ho jata toh is ko fidya ada karke azad bhi karate. Woh ahkamaat-e-Elahi ko puri tarah nahin maante the. Jo achha lagta aur halka mehsoos hota us ko maan lete aur jo baat mushkil lagti us ko chorr dete the.
Ahkamaat-e-Elahi ka haq yeh hai ke insaan un ko puri tarah mane, apni marzi ke mutabiq un ke sath khilwaar nah kare. Yeh baat Allah ko sakht na-pasand hai aur yahan is ki saza yeh batai gayi hai ke aise logon ko duniya mein bhi ruswai ka samna karna parta hai aur aakhirat mein bhi un ko shadeed tareen azab mein daala jayega. Aakhirat ke muqable mein duniya nihayat haqeer hai. Jo log aakhirat ko bech kar duniya khareedte hain woh intehai ghaate ka sauda karte hain. Un ki duniya bhi barbaad hoti hai aur aakhirat bhi tabah hoti hai.
By: Dr N Sabah Ismail Nadwi Alig
(29 October 2023)
No comments:
Post a Comment