Friday, December 8, 2023

Noor-e-Qur'an 08 Behtar se Kum-tar ka Safar

 

Aur jab Moosa ne apni qoum ke liye paani manga to hum ne kaha, apni laathi patthar par maaro to us se baarah chashme phoot nikle. Har giroh ne apna apna ghaat pehchaan liya. Khao aur piyo Allah ke rizq mein se aur zameen mein fasaad machaate na phiro. (60) Aur jab tum ne kaha, Ae Moosa! Hum ek hi qism ke khaane par hargiz sabr nahi karein ge to apne Rab se hamare liye dua karo ke Woh hamare liye woh cheezein nikale jo zameen ugati hai apni sabziyon, kakriyon, lehsan, masoor aur piyaz mein se. Us ne kaha, kya tum ek behtar cheez ke badle mein kum-tar cheez talab karte ho? Kisi sheher mein utar jao to woh cheez tumhein mile gi jo tum ne talab ki hai. Aur un par zillat aur mohtaaji musallat kar di gayi aur woh Allah ka ghazab le kar laute. Yeh is liye hua ke woh Allah ki aayaton ka inkaar karte the aur nabiyon ko na-haq qatl karte the, yeh is wajah se tha ke unhon ne na-farmaani ki aur woh had se barh jaane waale the. (61)

... Surah: Baqarah ... Rukoo: 7 ... Ayat: 60 - 61 ...
Is rukoo mein Bani Israel ki tareekh ke jin waqiaat ka zikr kiya gaya hai woh Taurat mein tafseel ke saath maujood hain. Jab Bani Israel Sehraa-e-Sina ke maidan tiyh mein the us waqt un ko peene ka paani dastiyaab nahi tha. Allah Taala ne Moosa alaihis salam ko hukm diya ke woh patthar ki chattaan par apni laathi marein. Jab unhon ne aisa kiya to Allah ke hukm se us chattaan se paani ke baarah chashme jaari hogaye. Yaqoob alaihis salam ki baarah auladon se Bani Israel ke baarah qabele wajood mein aa gaye the. Jab baarah chashme phoot nikle to har qabele ne apne liye ek ghaat mutaeyan kar liya aur ek ahem mas'ala khoobsurati se hal ho gaya. Muhaqqikeen ke mutaabiq woh chattaan ab tak jazeera numaa sina mein maujood hai. Sayyah usey jakar dekhte hain aur chashmon ke shigaaf is mein ab bhi paaye jaate hain.
Allah Taala ne Bani Israel par inaamaat ki bemisaal baarish ki magar unhon ne baar baar na-shukri o na-qadri ka muzahira kiya. Allah ne un ko khane ke liye Mann o Salwa ata kiya magar woh bohat jald us se ukta gaye aur unhon ne mutalba kiya ke woh sabzi, kakri, lehsan, masoor aur piyaz wagaira khana chahte hain. Woh bohat dino tak Mann o Salwa kha kar nahi reh sakte. Moosa alaihis salam ne un ko samjhaya ke woh Allah ki azeem nemat ko jo khaas un ke liye utari jaa rahi hai, chhod kar un cheezon ka mutalba kyun kar rahe hain jo aam aur mamooli hain magar unhon ne un ki baat maanne se inkaar kardia. Yeh baat Allah ki naarazgi ka sabab bani. Is ke ilawa bhi unhon ne deegar jurm ka irtikaab kiya. Woh Allah ki nishaniyon ka inkaar karte the, Allah ke nabiyo ke saath badd-sulooki karte the yahan tak ke un ko na-haq qatl tak kar dete the. Un ki na-farmaniyon aur sarkashiyo ne un ko Allah ki taraf se laanat o malamat aur ghayz o ghazab ka mustahiq thahra diya aur zillat o maskanat un ke ooper thop di gayi.

By: Dr N Sabah Ismail Nadwi Alig
(8 October 2023) 

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...