Surah: Baqarah .... Rukoo: 19 .... Ayat: 153- 163 .... Parah: 2
Khuda-e-Rehman o Raheem apne bandon ko aazmaishon se zaroor guzarta hai ke Woh un ko is duniya mein aazmaish hi ke liye bhejta hai, phir jab woh ibtila o aazmaish se kamyaab hokar nikalte hain to Woh un ko be tahaasha nawazta hai aur dunya o akhirat ki bhalaiyan un ko ataa karta hai, lekin Woh un ko duniyawi aazmaish mein tanha aur be yaar o madadgar nahi chhodta balkay un ko woh nuskha-e-kimiya bata deta hai jis ke zariye woh apne imtehan mein aasani se kamyaabi hasil karsakte hain. Har insaan apne Rab ki madad aur Us ka saath hasil kar sakta hai aur woh yeh kaam namaz aur sabr ke zariye kar sakta hai. "Ae iman walo! Sabr aur namaz ke zariye madad mango, be-shak Allah sabr karne walon ke sath hai."
Khauf o bhook, jaanon, malon aur phalon ka nuqsan insani zindagi ki bohat badi aazmaishain hain magar yeh us ke liye aasan ho jati hain jo un ko sabr o shukr ke sath bardasht karta hai aur Khuda-e-Kainaat ke samne sar aur dil jhuka kar apne aap ko Us ke hawale kardeta hai. Kisi insaan ka jo sab se bara nuqsan is duniya mein ho sakta hai woh us ki zindagi ka nuqsan hai magar raah-e-Khuda mein marne walon ka is mein bhi bara faida hai. Allah ne un ko murda kehne se bhi mana kardiya hai ke Allah ki raah mein apni jaan ganwane wale murda nahi hote, un ko un ke Rab ki janib se ek khas zindagi ataa ki jati hai aur un par un ke Rab ki janib se rehmaton ki khas barsaat hoti hai. Neik musalmanon ka Shewa yeh hai ke woh badi se badi museebat Khuda ki khatir bardasht kar lete hain.
Yahan is rukoo mein yeh bhi wazeh kiya gaya hai ke Safa aur Marwah Allah ki khas nishaniyon mein se hain. Mushrikeen ne in pahariyon par but rakh diye they. Allah Ta'ala ne wazeh farma diya ke mushrikeen ki bad-aamaliyon se sha'airAllah ki haqeeqat tabdeel nahi hoti hai is liye musalmanon ko hajj o umrah ke waqt in ka chakkar lagana hai aur apne Nabi (S) ki sunnaton ke mutabiq hajj o umrah ke arkaan ada karne hain. Yahan un logon par lanat o malamat ka zikar bhi hai jinhon ne in sha'air ko kharab karne aur kufr o shirk ka irtikab karne ya un ki haqeeqat duniya walon se chhupane ki koshish ki hai.
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(31 December 2023)