Monday, December 25, 2023

Noor-e-Quran 19 Qiblah wa Kaaba, Ek Azeem Ne’mat-e-Elahi

 



Aur har ek ke liye ek simt hai jis ki taraf woh rukh karta hai. Toh tum bhalaiyon ki taraf sabqat karo. Tum jahan kahin bhi hoge Allah tum sab ko jama kar le ga. Be-shak Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai. (148) Aur tum jahan se bhi niklo, apna munh Masjid Haram ki taraf karo, be-shak yehi haq hai tumhare Rab ki taraf se, aur Allah un kaamon se ghaafil nahi hai jo tum log karte ho. (149) Aur tum jahan kahin se bhi niklo, apna munh Masjid Haram hi ki taraf karo, aur tum log jahan kahin bhi ho, tum apne chehron ko usi ki taraf karo taake logon ke paas tumhare khilaf koi hujjat baqi na rahe, siwaey un ke jinhon ne zulm kiya hai un mein se, toh tum log un se na daro aur Mujh hi se daro, aur taake main apni ne’mat tum par tamam karoon aur taake tum hidayat pao. (150) Jaisa ke hum ne tumhare darmiyan tum hi mein se ek rasool bheja hai jo humari aayaten tumhare samne tilawat karta hai aur tumhen paak karta hai aur tumhen kitab wa hikmat ki taleem deta hai aur woh cheezen sikhaata hai jo tum nahi jante they. (151) Lehaza tum Mujh ko yaad rakho Main tum ko yaad rakhunga aur mera shukr ada karo aur meri nashukri na karo. (152)

Surah: Baqarah .... Rukoo: 18 .... Ayat: 148-152 .... Parah: 2
Khana Kaaba Musalmanan-e-Alam ka Qiblah hai aur yeh Qiblah ek azeem ne’mat-e-Elahi hai. Duniya ki tamam qaumain ibadat karti hain aur apne Khaliq wa Maalik ko raazi karne ki koshish karti hain taake Woh un se khush rahe aur un ko har qisam ki aasani aur farawani ata kare, aur woh apni ibadat ke waqt apna rukh kisi khaas maqam ki taraf karti hain jaisa ke Yahood maghrib ki taraf aur Nasara mashriq ki taraf rukh kar ke ibadat karte hain. Allah ne apne aakhri Nabi Muhammad Arabi ﷺ ko aur un ko maanne walon ko hukm diya hai ke woh apni ibadaton ke waqt Masjid Haram ki taraf rukh karein jis ke andar Allah ka ghar Khana Kaaba maujood hai. Woh ghar mein hon ya safar mein har haal mein un ke liye namaz ke waqt Qiblah rukh hona laazim hai.
Allah Ta'ala ne Musalmanon ko Khana Kaaba ki taraf rukh karne ka hukm kyun diya hai yahan is jagah is ki wazahat bhi farma di hai. "Taake logon ke paas tumhare khilaf koi hujjat baqi na rahe, siwaey un ke jinhon ne zulm kiya hai un mein se, toh tum log un se na daro aur Mujh hi se daro, aur taake Main apni ne’mat tum par tamam karoon aur taake tum hidayat pao." Allah Ta'ala ne yahan teen ahem wajoohat ka zikar farmaya hai. Pehli yeh ke ab kisi ke paas tumhare khilaf koi hujjat wa daleel baqi na rahe ke woh kehta phire ke un ka aur hamara qiblah ya tareeqa ek hai is liye un ko hamare deen wa shariat ke mutabiq chalna chahiye. Yahood wa Nasara par Allah ne bohat karam kiya aur un ko apne deen wa shariat se nawaza magar unhon ne apna deen bigar liya yahan tak ke Qiblah bhi tabdeel kar liya. Allah Ta'ala ne apne aakhri Nabi par apni aakhri kitab nazil farma di, un ko sahih rah dikha di aur un ko woh Qiblah bhi ata kar diya jo asal Ibrahimi Qiblah hai. Doosri wajah itmaam e ne’mat aur teesri wajah hidayat wa rehnumai hai. Baitullah al-Haram ki taraf rukh karte hi muttabi'een-e-Muhammad ﷺ ko Allah ki ne’maten aur hidayaten haasil hogayi hain.
Asal Shariat Millat-e-Ibrahimi hai aur asal Qiblah Khana Kaaba hai, is tarah Musalman us raaste par hain jo seedhe Khuda-e-Kainaat tak jaata hai. Ibrahim Alaihis Salaam ne Allah ke hukm se Us ka ghar Khana Kaaba tameer karne ke baad jo pehli aur aham dua mangi thi Allah ne us ko poori tarah qubool farma liya aur Ibrahim wa Ismael Alaihimas Salaam ki aulad mein ek aisa Rasool bhej diya jo Allah ki aayatien logon ke samne tilawat karta hai, un ko paak karta hai, un ko kitab wa hikmat ki taleem deta hai aur un ko woh cheezen sikhaata hai jo woh pehle nahi jante they.
Yahan in azeem inaamat-e-Elahi ke zikr ke baad Allah Ta'ala ne Iman walon se mutaalba kiya hai ke tum mujhe yaad rakho, Mein tumhein yaad rakhunga. Tum Mujhe mat bhoolo Mein tumhein faramosh nahi karunga aur hamesha mere shukarguzar ban kar raho, nashukri mat karo. Agar tum aisa karoge to meri mohabbat, ne’mat aur rehmat tum ko hamesha haasil rahegi.
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(24 December 2023)

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...