Wednesday, November 27, 2024

Noor-e-Quran 46 Maseeh Isa Ibn Maryam



Aur jab farishton ne kaha, "Aye Maryam! Beshak Allah ne tum ko chun liya hai aur tum ko pakeezagi ata ki hai aur sare jahan ki auraton par tum ko muntakhab kiya hai." (42) "Aye Maryam! Apne Rab ki farmanbardari karti raho, sajde karti raho aur ruku karne walon ke saath ruku karti raho." (43) Yeh ghaib ki kuch khabrein hain jo hum tumhari taraf wahi kar rahe hain, aur tum un ke paas maujood nahi they jab wo apne qalam daal rahe they ke un mein se kaun Maryam ki sarparasti karega, aur na hi tum us waqt un ke paas maujood they jab wo aapas mein jhagar rahe they. (44) Jab farishton ne kaha, "Aye Maryam! Beshak Allah tum ko apni taraf se ek kalma ki khush-khabri deta hai, us ka naam Maseeh Isa Ibn Maryam hoga, wo duniya aur aakhirat mein rutba wala hoga aur muqarrab bandon mein se hoga." (45) "Aur wo logon se baatein kare ga god mein bhi aur bari umar mein bhi, aur wo saliheen mein se hoga." (46) Wo boli, "Mere Rab! Mere haan larka kaise ho ga, jab ke kisi bashar ne mujhe haath tak nahi lagaya?" Farmaya, "Isi tarah, Allah paida karta hai jo chahta hai. Jab wo kisi kaam ka faisla karta hai, to Woh us se bas ye kehta hai ke ho ja, to wo ho jata hai." (47) "Aur wahi us ko sikhaye ga kitaab aur hikmat aur Taurat aur Injeel." (48) "Aur wo Bani Israeel ki taraf rasool hoga ke beshak main tumhare paas nishani le kar aaya hoon tumhare Rab ki taraf se. Beshak main tumhare liye mitti se banata hoon ek parinde ki si soorat, phir us mein phoonk marta hoon to wo waqai parinda ban jati hai, Allah ke hukm se. Aur main paidaishi andhe ko aur kodhi ko achcha kar deta hoon aur murdon ko zinda kar deta hoon Allah ke hukm se, aur main tumhein bata deta hoon jo kuch tum khate ho aur jo jama kar ke rakhte ho apne gharon mein. Beshak is mein tumhare liye nishani hai, agar tum imaan rakhte ho." (49) "Aur main tasdeeq karta hoon mujh se pehle aane wali Taurat ki, aur taake main tumhare liye halal thehraun baaz un cheezon ko jo tum par haram kar di gayi hain, aur main tumhare paas nishani le kar aaya hoon tumhare Rab ki taraf se. To tum Allah se daro aur meri ita’at karo." (50) "Beshak Allah hi mera bhi Rab hai aur tumhara bhi Rab hai, to Usi ki ibadat karo, yehi seedha rasta hai." (51) Phir jab Isa ne un ka kufr mehsoos kiya to kaha, "Kaun mera madadgar banta hai Allah ki raah mein?" Hawariyon ne kaha, "Hum hain Allah ke madadgar, hum imaan laye hain Allah par, aur aap gawah rahiye ke beshak hum Muslim hain." (52) "Hamare Rab! Hum imaan laye us par jo tu ne naazil kiya hai aur humne rasool ki pairwi ki, pas Tu likh le hum ko, gawahi dene walon mein." (53) Aur unhone khufia tadbeer ki, aur Allah ne bhi khufia tadbeer ki, aur Allah behtareen tadbeer karne wala hai. (54)


Surah: Aal-e-Imran .... Ruku: 05 .... Aayat: 42-54 .... Para

Pichley rukoo mein Yahya alaihis salaam ki anokhi wiladat ka zikr tha ke Allah ne aulaad ke ta'alluq se Zakariya alaihis salaam ki dua ek aise waqt mein qubool ki jab bazaahir unki saari umeedein khatam ho chuki theen, lekin Allah jo chahta hai karta hai. Ab yahan Isa alaihis salaam ki khaariq aadat wiladat ka zikr hai. Aam qaidey ke mutabiq duniya mein har aadmi maan aur baap ke zariye paida hota hai magar unki paidaish Allah ke khaas kalma 'Kun' se hui. Maryam alaihas salaam ko Allah ne ek khaas mojiza ke liye muntakhab farmaaya. Woh duniya ki wahid khatoon hain jin ko Allah ne is azeem eazaaz se nawaza.

Jab farishte ne Maryam alaihas salaam ko yeh basharat di to yeh khabar un par bijli ban kar giri. Woh hairaan reh gayin ke aisa kaise ho sakta hai magar Allah ka yahi faisla tha. Isa alaihis salaam ki wiladat baghair baap ke hui isiliye unko Isa ibn Maryam kaha gaya aur unko unki walida ki taraf mansoob kiya gaya. Allah ne unki walida ko pehle hi bata diya ke woh dono jahan mein izzat o martabat waley honge aur jis tarah unki paidaish mo'jazati hai, Allah unko bohot saarey aham mo'jizaat bhi 'ata karega. Yahan un Hawariyyin ka zikr bhi hai jin logon ne Isa alaihis salaam ka har haal mein saath diya aur jab kuch logon ne Isa alaihis salaam ke khilaaf sazishain keen to Allah ne unki saazish nakaam bana di.

By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(14 July 2024)

Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata



No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...