Keh do, agar tum Allah se muhabbat karte ho to meri ittiba karo, Allah tum se muhabbat karega aur tumhare gunahon ko muaf kar dega, aur Allah bakhshne wala, reham farmane wala hai. (31) Keh do, Allah ki ita’at karo aur Rasool ki, phir agar woh munh mod lein to bilashuba Allah kafiron se muhabbat nahi karta. (32) Beshak Allah ne muntakhab farmaaya Aadam ko aur Nooh ko aur Ibraheem ke khandan ko aur Imran ke khandan ko, saare aalam ke ooper. (33) Woh ek doosre ki aulaad hain aur Allah sunne wala, jaanne wala hai. (34) Jab Imran ki biwi ne kaha, mere Rab! Mai ne nazar ki tere liye, jo mere pait mein hai, har kaam se aazad kar ke. So Tu isko meri taraf se qubool farma. Beshak Tu khoob sunne wala, khoob jaanne wala hai. (35) Phir jab usne usko janam diya to kaha, Mere Rab! Mai ne to ladki ko janam diya hai - aur Allah ko khoob maaloom tha jo usne janam diya - aur ladka, ladki jaisa to nahi hota, aur mai ne iska naam Maryam rakha hai aur beshak main isko aur iski aulaad ko Shaitaan Mardood se teri panaah mein deti hoon. (36) So uske Rab ne usko achhi qubooliyat ke saath qubool farmaaya, aur usko behtareen parvarish ke saath parwaan chadhaya, aur Zakariya ko uska sarparast banaya. Jab kabhi Zakariya uske paas mehrab mein jata, uske paas rizq paata, usne poocha, aye Maryam! yeh tere paas kahan se aata hai? Usne kaha, yeh Allah ke paas se hai. Beshak Allah jisko chahta hai be-hisaab rizq deta hai. (37) Wahin Zakariya ne apne Rab ko pukara, usne kaha, Mere Rab! mujhe apne paas se paakeeza aulaad ata farma, beshak Tu dua ka sunne wala hai. (38) To farishton ne usko aawaz di jab ke woh mehrab mein khara hua namaz ada kar raha tha. Beshak Allah tujhe Yahya ki khush khabri deta hai, jo Allah ke ek kalma ki tasdeeq karne wala hoga, aur sardar hoga, aur apne ooper zabt rakhne wala hoga aur Nabi hoga saliheen mein se. (39) Usne kaha, Mere Rab! mere yahan ladka kaise hoga, mujh tak to burhapa aa pahuncha hai aur meri biwi baanjh hai. Farmaaya, isi tarah, Allah jo chahta hai karta hai. (40) Usne kaha, Mere Rab! mere liye koi nishani muqarrar kar de, farmaaya, tumhare liye nishani yeh hai ke tum teen din tak logon se baat na kar sakoge, magar ishara se. Aur apne Rab ko kasrat se yaad karte raho aur subah o shaam Uski tasbeeh karte raho. (41)
Surah: Aal-e-Imran .... Ruku: 04 .... Aayat: 31-41 .... Para: 3
Allah ki muhabbat is duniya ki sab se badi nemat hai. Har banda-e-momin is baat ka khwahishmand hota hai ke usko Allah ki muhabbat haasil ho jaye. Yahaan pehli aayat mein muhabbat-e-ilahi ke husool ka tareeqa bata diya gaya hai ke Allah ki muhabbat Muhammad (S) ki ittiba o pairavi se hi haasil ho sakti hai. Jo bhi Khuda ki muhabbat haasil karna chahta hai woh Uske Rasool (S) ke peeche peeche chale, Allah o Rasool (S) ki itaat hi insaan ko Khuda ki muhabbat tak pohncha sakti hai.
Jab Allah apne bande se muhabbat karta hai to us par apna khusoosi fazl o karam farmata hai. Aadam (A), Nooh (A), Aal-e-Ibrahim (A) aur Aal-e-Imran par Allah ne apna khaas karam kiya aur unko duniya walon par khaas fazeelat ata farmaai. Yahaan jis Imran bin Matan ka zikr hai woh Maryam (A) ke naana hain. Unki beti Allah se bepanah muhabbat karne wali thi, isi liye unhone apne hone wale bachche ke liye yeh nazar maani thi ke woh usko Allah ke naam par waqf kar dengi. Phir jab unke ghar mein bachchi paida hui to bhi woh apne waade se peeche nahi hatin. Allah ne unka tohfa-e-muhabbat qubool kiya aur unki beti Maryam ko us azeem kaam ke liye muntakhab kar liya jo kaam unse pehle bhi kisi se liya nahi gaya aur unke baad bhi.
Maryam (A) shuru se Allah ki aisi mukhlis bandi theen ke Zakariya (A) jaise azeem Nabi jo unke khalu bhi the aur haikal mein unke sarparast bhi, woh bhi unki Khuda parasti se be had mutassir hue. Aur inhi se guftagu ke dauran Zakariya (A) ne jab Allah se apne liye aulaad maangi to Allah ne unko bhi unke burhapa ke bawajood ek aisi aulaad ata ki jo Nabi bhi the, sardar bhi the aur intehai paakbaz aur Allah se muhabbat karne wale bhi the.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(7 July 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment