Allah hi ka hai jo kuch aasmaano’n mein hai aur jo kuch zameen mein hai. Aur agar tum zaahir karo usko jo tumhare dilon mein hai ya use chhupao, Allah bahar’haal tum se unka hisaab lega. Phir Woh jis ko chahega bakhsh dega aur jis ko chahega azaab dega. Aur Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai. (284) Rasool imaan laaye hain us par jo unki taraf naazil kiya gaya hai unke Rab ki taraf se, aur Momineen bhi. Yeh sab imaan laaye hain Allah par, aur Uske Farishton par, aur Uski Kitaabon par, aur Uske Rasoolon par. Hum Uske Rasoolon mein se kisi ke darmiyan farq nahi karte. Aur unhon ne kaha ke hum ne suna aur humne ita'at ki. Hum Teri maghfirat ke talib hain aye hamare Rab! Aur Teri hi taraf laut kar jaana hai. (285) Allah kisi nafs ko takleef nahi deta magar uski wusat ke mutabiq. Usko wohi milega jo usne kamaya hai aur us par wohi padega jo usne kiya hai. Aye hamare Rab! Hamara muaakhza na karna, agar hum bhool jaayein ya khata kar baithein. Aye hamare Rab! Aur hum par waisa bojh na dalna, jaisa Tu ne un logon par dala, jo hum se pehle the. Aye hamare Rab! Aur Tu hum se woh na uthwa jiski hum mein taaqat nahi. Aur hum ko muaf kar de, aur hamari maghfirat farma, aur hum par reham farma. Tu hi hamara Maula hai, toh kaafir qaum ke muqabla mein hamari nusrat farma. (286)Surah: Baqarah - Ruku: 40 - Ayat: 284-286 - Para: 3
Quran Majeed ki taweel tareen Surat, Surah Baqarah is ruku ke sath mukammal hoti hai. Yahan Surah ke khatma par ek martaba phir se poori shiddat ke sath yeh baat dohrayi gayi hai ke is kainaat mein jo kuch bhi hai sab Allah hi ka hai. Wohi is duniya ka Khaliq o Maalik bhi hai aur poori duniya mein hukumat o badshahat bhi sirf Usi ki hai. Woh sirf tumhare zahiri aamaal par nazar nahi rakhta balki tumhare dilon mein chhupe hue jazbaat o ehsaasat se bhi achchi tarah Waqif hai. Tum agar apne dil mein kufr o nifaq chhupa kar duniya ko dhokha dene ki koshish karoge to bhi Usko harghiz dhokha nahi de paoge.
Yahan is aqeede ki wazahat bhi kar di gayi hai jo Rasool Allah ﷺ ka aqeeda bhi hai aur tamam Mominon ka aqeeda o imaan bhi hai. Nabi Akramؐ aur unke muttabi'een Allah ke sath tamam Farishton par, tamam asmani Kitabon par aur tamam Rasoolon par imaan rakhte hain. Jitne Rasool duniya mein tashreef laaye hain sab muazzaz o mukarram hain aur unke darmiyan tafreeq insan ko halqa-e-momineen se bahar kar deti hai. Koi momin aisa nahi hota jo Allah ki baat sunkar suni ansuni karne ki koshish kare balki woh poore ikhlaas ke sath 'Sami'na wa Ata'na' (Hum ne suna aur hum ne itaat ki) kehta hai aur apne Rab se maghfirat o najat ki umeed rakhta hai.
Aakhri ayat mein ek ahem baat yeh batayi gayi hai ke Allah kisi bhi aadmi ko uski taaqat o haisiyat se ziyada ki zimmedaari nahi deta hai aur har aadmi sirf apne aamaal ke liye jawab deh hai. Jo bhi achha kaam karega usko uski bhalaayi ka badla zaroor milega aur jo bhi kisi burayi ka murtakib hoga to uska wabal usi ke sar aayega.
Surah Baqarah ka ikhtitam chand nihayat ahem duaaon ke sath hota hai. Yeh Allah ka ehsan hai ke Usne apne bandon ko jahan kuch ahem zimmedaariyan di hain wahin is bojh ko uthane ka saleeqa o tareeqa bhi sikha diya hai aur usko samjha diya hai ke woh agar apne maamlaat ko Khuda ke supurd karne ke baad Uske aage apni kamzori ka ailaan karke Us se Uski madad talab karega to Woh zaroor uski madad farmaega. "Aye hamare Rab! Hamara muakhza na karna, agar hum bhool jaayein ya khata kar baithein. Aye hamare Rab! Aur hum par waisa bojh na dalna, jaisa Tu ne un logon par dala, jo hum se pehle the. Aye hamare Rab! Aur Tu hum se woh na uthwa jis ki hum mein taaqat nahi. Aur hum ko muaf kar de, aur hamari maghfirat farma, aur hum par reham farma. Tu hi hamara Maula hai, toh kaafir qaum ke muqabla mein hamari nusrat farma."
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(9 June 2024)
Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata
No comments:
Post a Comment