Wednesday, November 20, 2024

Noor-e-Quran 31 Talaq Yaftah aur Bewah ka Nikah

 

Aur jab tum aurton ko talaq do, phir woh apni muddat ko pahunch jayen to unko na roko keh woh apne shoharon se nikah kar lein jabkeh woh ma'roof tareeqah ke mutabiq aaps mein raazi hon, yeh naseehat ki jaati hai tum mein se us shakhs ko jo Allah par aur youm-e-akhirat par iman rakhta hai. Yehi tumhare liye zyada pakeeza aur saaf suthra tareeqa hai. Aur Allah janta hai aur tum nahi jantey ho. (232) Aur maayen apni aulad ko poore do saal tak doodh pilayen, un logon ke liye jo iradah rakhte hon keh raza'at ki muddat poori karein. Aur jis ka bachcha hai us ke zimma hai un aurton ka khana aur kapra dastoor ke mutabiq. Kisi ko bhi us ki taqat se ziyada takleef nah di jaye. Nah kisi maan ko us ke bachchey ki wajah se nuqsaan pahunchaya jaye aur nah kisi baap ko us ke bachchey ki wajah se. Aur waris par bhi isi tarah ki zimmedari hai. Phir agar dono doodh chudane ka iradah kar lein bahami razamandi aur bahami mashware se, to un dono par koi gunah nahin, aur agar tum iradah kar lo ke apne bachon ko kisi aur se doodh pilwao, tab bhi tum par koi gunah nahin hai, jabkeh tum un ko poora poora ada kar do jo bhi ma'roof tareeqah ke mutabiq dena tay kiya hai, aur Allah se daro aur jaan lo keh jo bhi tum karte ho Allah us ko khoob dekhne wala hai. (233) Aur jo log tum mein se wafat pa jayen aur biwiyan chhor jayen woh biwiyan apne aap ko char mahine aur das din intezaar mein rakhein to jab woh apni muddat ko pahunch jayen, to tum par is mein koi gunah nahin hai jo kuch woh apne haq mein ma'roof tareeqah ke mutabiq karein, aur Allah un kaamon se poori tarah bakhbar hai jo tum karte ho. (234) Aur tum par koi gunah nahin is baat mein ke tum in aurton ko ishara se nikah ka paigham do ya apne dil mein chhupaye rakho, Allah ko maloom hai keh tum zaroor un ka zikr karo ge lekin tum un se koi posheeda ahd-o-paiman nah karna siwae is ke keh tum koi ma'roof baat kah do, aur aqd-e-nikah ka iradah na karo yahan tak keh muqarrara muddat apni inteha ko pahunch jaye, aur jaan lo keh Allah janta hai jo kuch tumhare dilon mein hai, to tum Us se dartey raho, aur jaan lo keh Allah bohot bakhshne wala, bada hilm wala hai. (235)
Surah: Baqarah .... Ruku: 30 .... Ayat: 232- 235 .... Para: 2
Allah Ta'ala ne is ruku mein talaq yaftah aur bewah aurat ke taalluq se nihayat wazeh alfaaz mein yeh hidayat di hai ke woh apni iddat guzarne ke baad is baat ke liye poori tarah azaad hain ke woh jis se chahein nikah kar sakti hain. Agar koi sabiq shohar ya sabiq khandan ka koi fard us ko nikah karne se rokne ki koshish karta hai to woh Allah ke qanoon se baghawat karta hai. Yahan yeh bhi bataya gaya hai ke bewah ki iddat mutallaqah ki iddat se mukhtalif hai. Agar kisi ka shohar inteqal kar jaye to us ki iddat chaar mahine das din hai. Is ke baad us ko yeh ikhtiyar haasil hai ke woh kisi bhi mard se nikah kar ke apni zindagi naye sire se shuru kar sakti hai. Yeh ikhtiyar us ko Allah ne ataa kiya hai, agar koi us ko is se rokne ki koshish karta hai to woh Allah ki nigaah mein jurm ka irtikab karta hai.

Jab ek aurat iddat ki muddat guzaar rahi ho to yeh baat munasib nahi hai ke us ko nikah ka paigham diya jaye. Agar koi us se nikah ka khwahishmand hai to yeh aib ki baat nahi hai, woh us ko ishara to de sakta hai magar is zamanah-e-iddat mein woh us ke sath is taalluq se koi ahd-o-paiman nahi kar sakta hai.

Yahan is ruku mein raza'at ke taalluq se bhi hidayatein di gayi hain aur bahut saaf alfaaz mein samjhaya gaya hai ke mawlood ko doodh to beharhaal pilaya jaye ga magar bahami mashware aur taawun ke sath, aur is doran sare akhrajaat mard hi ke zimme honge lekin kisi ke sath ziyadti nahi ki jayegi, nah mard ke sath aur nah aurat ke sath. Yahan kai baar lafz 'ma'roof' istemal hua hai yani woh taur tareeqa aur dastoor jo kisi bhi saleh muashrah mein neki aur bhalai ki shakal mein maujood hota hai. Ma'roof ki riaayat kisi bhi maamla se niptane mein insan ko aasaani deti hai aur bade bade masaail aasaani aur khoobsurti se hal ho jate hain.
By: Dr. N. Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(17 March 2024) 


Jibreel School | Islamic School in Kolkata | Muslim School in Kolkata | Muslim English Medium School in Kolkata | Islamic and Modern Education in Kolkata | Best Islamic School in Kolkata | Best Muslim School in Kolkata | Units of Jibreel International Islamic School | Muslim Private School in Kolkata | First Islamic School in Kolkata

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...