Aur woh tum se sawal karte hain haiz ke bare mein, keh do ke woh aziyat hai, to haiz ke dino mein auraton se alag raho aur un se qurbat na karo jab tak woh paak na ho jayein, phir jab woh achi tarah paak ho jayein to un ke paas aao jahan se Allah ne tumhein hukm diya hai, be shak Allah mahboob rakhta hai bohat tauba karne walon ko aur mahboob rakhta hai paakeezgi ikhtiyar karne walon ko. (222) Tumhari auratein tumhare liye bamanzilah kheti hain, to apni kheti mein aao jis tarah tum chaho aur apne liye aage barhao aur Allah se darte raho aur khoob jaan lo ke tum zaroor Us se mulaqat karne wale ho, aur iman walon ko khush-khabri de do. (223) Aur Allah ko apni aisi qasmon ke liye aarr na banao ke tum bhalai na karoge, parhezgari na karoge aur logon ke darmiyan sulah na karoge. Aur Allah sab sunne wala, sab janne wala hai. (224) Allah tum se tumhari lagho qasmon ke bare mein koi muakhza nahi kare ga, lekin woh tum se tumhari un qasmon ke bare mein zaroor muakhza kare ga jin ka irada tumhare dilon ne kiya hai. Aur Allah bohat bakshne wala, nihayat burdbaar hai. (225) Un logon ke liye jo apni auraton se na milne ki qasam kha baithein chaar mahine ki mohlat hai, chunancha agar woh rujoo kar lein to be shak Allah bohat bakshne wala, nihayat reham karne wala hai. (226) Aur agar woh talaq dene ka pakka irada kar lein to be shak Allah sab sunne wala, sab janne wala hai. (227) Aur talaq yafta auratein apne aap ko teen aiyaam e haiz tak roke rakhein aur un ke liye jaiz nahi ke woh us ko chhupayein jis ko Allah ne un ke rehmon mein paida kiya hai, agar woh iman rakhti hain Allah par aur aakhirat ke din par, aur un ke shauhar is doran mein unhein wapas lene ke zyada haqdar hain agar woh islah ka irada rakhte hon. Aur auraton ke liye waise hi haqooq hain jaise un ke oopar haq hai maroof ke mutabiq, aur mardon ko un par ek darja haasil hai aur Allah bohat ghalib, badi hikmat wala hai. (228)
Surah: Baqarah .... Rukoo: 28 .... Ayat: 222-228 .... Para: 2Guzishta ruku' ki tarah is ruku' mein bhi kai ahem masail ki taraf tawajjuh dilai gayi hai aur saaf lafzon mein un se mutalliq hidayaat di gayi hain. Is mein koi shak nahi ke har insaan mukhtalif aailee, samaji, mu'ashi aur mu'ashrati masail se ulajhta rehta hai. Allah Ta'ala ne apne bandon ko in tamam bunyadi masail se niptne ke liye hidayaten de di hain taake woh apne masail ka behtareen hal nikal sakin aur shaitan ke chakkar mein pad kar apni zindagi ko musibaton ki aamajgah na bana lein. Magar yeh baat beharhal zehan nasheen rakhni chahiye ke Quran in ko aise aam usool batata hai jo har ek ke liye apne undar rehnumai rakhte hain. Masaailon ki tafseel samajhne ke liye hamare samne hamare Nabi ﷺ ka uswah aur un ki sunnat maujood hai, aur phir baad mein logon ne un ko mazeed samajhne aur un ki tafseelat pesh karne ki bhi mukhtalif koshishen ki hain.
Yahan is ruku' mein ayyam haiz mein mard o zan ke ta'alluqat, roohani o jismani paakeezgi tauba aur taharat ki ahmiyat, saleh insani mu'ashrah mein nikah ki zaroorat, Allah ke naam ka bahana bana kar salah o falah ke kamon se farar ki haqeeqat, Eilaa yani kisi ka qasam kha kar yeh kehna ke woh apni biwi se alag rahega, kisi ka sach much talaq ka iradah karna aur phir kisi aurat ka talaq ke baad doosri shadi se lag bhag teen mah tak ruke rehne ki zaroorat par wazahat ke sath roshni dali gayi hai. Baat samajhne aur maanne walon ke liye itni baat kaafi hai, mazeed tafseelat ke talib fiqh ki kitabein dekh sakte hain.
Allah Ta'ala ne yahan biwi ke liye kheti ki misal bayan ki hai. Kheti ki qeemat, zaroorat aur ahmiyat se har kisan achchi tarah waaqif hota hai. Woh kisan ki aisi qeemti cheez hoti hai jis ki hifazat ke liye woh apni zindagi bhi daav par laga deta hai. Kisan ki zindagi ka dar o madar kheti par hi hota hai. Woh is ka puri tarah khayal rakhta hai. Kab is mein beej dalna hai, kab hal chalana hai, kab kheton mein pani dalna hai woh kabhi is se ghaafil nahi rehta hai. Phir jab is mein anaj ugta hai to woh lagataar is ki nigrani o nigehbani karta hai aur is ko har sard o garm se mehfooz rakhta hai. Goya kheti hi us ke liye sab kuch hoti hai aur woh duniya ki har cheez se zyada is ka khayal rakhta aur is se mohabbat karta hai. Ek insaan ki zindagi mein aisi hi qeemti shay us ki biwi hoti hai aur us ka khayal rakhna, usey har takleef se mehfooz rakhna aur us ki tamam zarooraton ko khushi khushi poora karna is par laazim hota hai. Jo log itni si baat nahi samajhte aur apni biwi ko roohani o jismani aziyet dete hain un ki zindagi jahannam ban kar reh jati hai. Allah chahta hai ke insaan ko is duniya mein hi jannat jaisi khushiyan milein, ise jahannam jaisi musibaton aur takleefon ka samna nah karna pare.٭
By: Dr. N Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(3rd March 2024)
No comments:
Post a Comment