Woh tum se sawal karte hain hurmat wale mahine mein ladaai ke bare mein. Keh do, is mein ladaai karna bada gunah hai. Aur Allah ki raah se rokna aur us ke sath kufr karna aur Masjid e Haram se rokna aur us ke baashindon ko us se nikaal dena Allah ke nazdeek is se bhi bada gunah hai aur fitnah qatl se bhi ziyada badi burai hai. Aur woh log barabar tum se ladte rahenge yahan tak ke tum ko tumhare deen se pher dein agar un ka bas chale, aur tum mein se jo apne deen se phir jayega phir is haal mein mare ga ke woh kafir ho to yehi log hain jin ke aamal dunya aur aakhirat mein zaya ho gaye aur yehi log aag wale hain, woh is mein hamesha rahenge. (217) Beshak jo log iman laye aur jinhon ne hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya, wohi log Allah ki rehmat ki umeed rakhte hain aur Allah bakhshne wala, reham karne wala hai. (218) Woh tum se sawal karte hain sharab aur juye ke bare mein. Keh do ke in donon mein bada gunah hai aur logon ke liye kuch faide bhi hain, aur in donon ka gunah un ke faide se zyada bada hai. Aur woh tum se sawal karte hain ke kya kharch karein? Keh do ke jo zarurat se zyada ho. Isi tarah Allah tumhare liye aayaton ko saaf saaf bayan karta hai takey tum ghour o fikr karo. (219) Dunya aur aakhirat ke muamlaat mein. Aur woh tum se sawal karte hain yateemon ke bare mein. Keh do ke jis mein un ki bhalai ho woh behtar hai aur agar tum un ko apne sath mila lo to woh tumhare bhai hain aur Allah ko maloom hai ke kaun bigaar chahne wala hai aur kaun bhalai karne wala. Aur agar Allah chahta to tumhein mushaqqat mein daal deta, bilashuba Allah ghalba wala, hikmat wala hai. (220)
Aur mushrik auraton se nikah na karo yahan tak ke woh iman le aayen, aur momin kaneez behtar hai ek mushrik aurat se agarche woh tumhein bahut pasand aaye. Aur mushrik mardon se kisi ka nikah na karao yahan tak ke woh iman le aayen, aur momin ghulam behtar hai mushrik mard se agarche woh tumhein achchha lage. Yeh log aag ki taraf bulate hain aur Allah apne hukm se jannat o maghfirat ki taraf bulata hai, aur logon ke liye apni aayatein saaf saaf bayan karta hai takey woh naseehat qubool karein. (221)Surah: Baqarah .... Ruku: 27 .... Aayat: 217- 221 .... Para: 2
Is ruku mein chaar ahem sawalat mazkoor hue hain, woh tum se sawal karte hain hurmat wale mahine mein ladaai ke bare mein. Woh tum se sawal karte hain sharab aur juye ke bare mein. Woh tum se sawal karte hain ke kya kharch karein? Woh tum se sawal karte hain yateemon ke bare mein. Phir Allah ne un ke jawabat bhi sarahat o wazahat ke sath diye hain, is ke ilawa yahan nikah ke talluq se bhi yeh waazeh kiya gaya hai ke musalman mard o aurat ko nikah ke waqt sab se pehle kya baat dhyan mein rakhni chahiye.
Qabil e ehtiraam mahinon ke talluq se kuch hidayatein pehle bhi aa chuki hain, yahan bataya gaya hai ke is mein ladaai karna mamooli baat nahi hai magar jo log musalmanon ke, Masjid e Haram ke aur mubarak shahar Makkah aur is ke rehne walon ke jaani dushman bane hue hain un ka jurm o gunah itna bada hai ke un ke khilaf kabhi bhi aur kahin bhi karwai ki ja sakti hai. Isi ke sath yeh bhi bataya gaya hai ke jo log irtidaad ke murtakib honge aur isi haal mein wafat pa jayenge woh dunya o aakhirat donon ka nuqsan karenge.
Sharab aur juye mein dher saare nuqsanat hain magar mushrikeen e Makkah ke ameeron ka ek mamool yeh tha ke woh qahat aur tangdasti ke zamanon mein aisi mehfilein jamate jis mein woh sharab peete aur juye khelte the, phir woh raqam jo woh is mein jeette the muhtajon mein taqseem kar dete the, yahan is ka bhi jawab aagaya ke is mein jo nafaa hai woh thoda hai magar is ka jo gunah hai woh bahut bada hai. Isi ke sath yeh bhi bata diya gaya ke zaroorat padne par zyada se zyada raqam barae imdad o taawun kharch karna chahiye magar apni zaroorat bhar samaan apne paas rakh lena chahiye takey madad karne wala khud doosron ke aage haath phailata na phire.
Yateemon ke talluq se bohat saari hidayatein hain. Un ki khair-khwahi bhi laazim hai aur un ka maal haraam tariqe se khane ki mumaniat bhi hai. Aise mein yahan wazeh kar diya gaya hai ke ba-waqt zarurat aur baraye islaah un ka maal apne maal ke sath milaya bhi ja sakta hai magar yaad rahe ke Allah ko sab maloom hai ke kaun gadbadi kar raha hai aur kaun bhalai kar raha hai. Aakhir mein nikah ke talluq se yeh saaf hukm hai ke musalmanon ko nikah sirf iman walon ke sath karna chahiye. Yeh ek ahem amal hai aur insani zindagi par is ke door-ras asraat murattab hote hain. Zindagi ki mamooli raahaton ke liye Aakhirat ki azeem nematon ki qurbani nahi di ja sakti hai.
By: Dr Noorus Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(25 February 2024)
No comments:
Post a Comment