Hajj ke mahine sab ko maaloom hain. To jis ne un mein hajj ka irada kar liya to phir hajj ke douran na koi shehwat ki baat ho, na gunah ka irtikab ho aur na larai jhagra. Aur jo neki bhi tum karte ho Allah usey janta hai. Aur tum zaad e raah le liya karo, be shak behtareen zaad e raah taqwa hai. Aur Mujh se daro ae aql walo! (197) Tum par koi gunah nahi ke tum apne Rabb ka fazl talash karo. Phir jab tum Arafat se wapas aao to Mash'ar Haraam ke paas Allah ka zikr karo. Aur us ka zikr us tarah karo jis tarah us ne tumhein hidayat di hai, aur tum is se pehle bhatakne walon mein se the. (198) Phir tum wahan se wapas aao jahan se log wapas aate hain aur Allah se maghfirat maango. Be shak Allah bakhshne wala, reham farmane wala hai. (199) Phir jab tum apne hajj ke arkaan poorey kar lo, to Allah ko yaad karo jaise tum apne aaba o ajdaad ko yaad karte rahe ho, ya us se bhi ziyada shiddat se. To logon mein se baaz aise hain jo kehte hain, ae hamare Rabb! Humain duniya hi mein de de, aur un ka aakhirat mein koi hissa nahi. (200) Aur un mein se kuch woh hain jo kehte hain, ae hamare Rabb! Humain duniya mein bhalai de aur aakhirat mein bhi bhalai de, aur humaen aag ke azab se bacha le. (201) Yehi log hain jin ke liye us mein se hissa hai jo unhon ne kamaya, aur Allah bohat jald hisab chukane wala hai. (202) Aur Allah ko yaad karo kuch gine huye dino mein. Phir jo shakhs do dino mein jaldi chala jaye to us par koi gunah nahi aur jo taakheer kare to us par bhi koi gunah nahi, shart yeh hai ke woh taqwa ikhtiyar kare. Aur Allah se daro aur jaan lo ke tum sab us ke paas jama kiye jao ge. (203) Aur logon mein se koi aisa hai jis ki baat duniya ki zindagi mein tumhein bhali lagti hai, aur woh Allah ko apne dil ki baat par gawah banata hai halankeh woh sakht jhagralu hai. (204) Aur jab woh laut kar jata hai to zamin mein yehi koshish karta hai ke us mein fasad machaye aur kheton aur naslon ko tabah kare. Aur Allah fasad ko pasand nahi karta. (205) Aur jab us se kaha jata hai ke Allah se daro, to ghamand us ko gunah par jama deta hai. To us ke liye jahannam kafi hai, aur woh bohat hi bura thikana hai. (206) Aur logon mein se koi aisa hai jo Allah ki razajoee ki khaatir apni jaan tak bech daalta hai. Aur Allah bandon par bohat meharban hai. (207) Ae iman lane walo! Islam mein pooray pooray daakhil ho jao, aur shaitan ke naqsh qadam ki pairwi na karo. Be shak woh tumhara khula dushman hai. (208) Phir agar tum phisal gaye, is ke baad bhi ke tumhare paas wazeh daleelain aa chuki hain, to jaan lo ke Allah sab par ghalib hai, hikmat wala hai. (209) Kya woh is baat ka intezar kar rahe hain ke Allah un ke paas baadal ke saebanon mein aa jaye aur farishte bhi, aur maamle ka faisla kar diya jaye? Aur Allah hi ki taraf sare muamlaat lotaye jaate hain. (210)
Surah: Baqarah .... Ruku: 25 .... Aayat: 197- 210 .... Para: 2
Guzishta ruku mein bhi hajj o umrah ke taaluq se kuch hidayatain thin, is ruku mein hajj ke arkaan o manasik ke taaluq se mazeed wazahatain kardi gayi hain. Hajj kin dino mein karna hai, is ke liye kya tayyariyan karni hain, kin baaton ka khaas lehaaz rakhna hai, Arafat o Muzdalifah aur Mina mein waqoof o qiyam ke dauraan zikr o dua ka kaisa ehtemam karna hai, yeh sari baatein tafseel ke saath yahan bayan kar di gayi hain.
Ruku ke aakhri hisse mein iman walon ko Islam mein poori tarah daakhil hone aur shaitan ki dushmani se muhtaat rehne ka hukm dene se pehle do aise kirdaron par roshni dali gayi hai jin mein se ek bazahir bada nek o mukhlis magar haqeeqat mein nihayat bad-kirdar hai aur doosra Allah ki razamandi ki khaatir apna sab kuch qurban kar dene wala hai. Allah nek logon ko hi pasand karta hai aur duniya o aakhirat dono jaghon mein unhi ko kaamiyabi ata karta hai. Bilashuba Allah apne nek bandon par bohat meharban hai. ٭
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(11 February 2024)
No comments:
Post a Comment