Thursday, February 1, 2024

Noor-e-Quran 23 Neki, Sachchai aur Parhezgari

 Neki sirf yeh nahi hai ke tum apne chehre mashriq aur maghrib ki taraf kar lo, balke neki uski hai jo imaan laya Allah par, Aakhirat ke din par, Farishton par, Kitab par aur Nabiyon par aur usne maal kharch kiya uski mohabbat ke bawajood rishtedaron par, yateemon par, miskeenon par, musafiron par, sawaal karne walon par aur gardanon ko chhudane mein, aur namaz qaim ki aur zakat ada ki aur woh apne ahad ko poora karne wale hain jab bhi woh ahad karein aur sabr karne wale hain tang-dasti aur takleef mein aur jung ke waqt, yehi log hain jinhon ne sach kaha aur yehi parhezgar log hain. (177) Aye logo jo imaan laye ho! Tum par maqtoolon ka qisas lena farz thahraya gaya hai. Azad ke badle azad, ghulam ke badle ghulam aur aurat ke badle aurat. Phir jisko us ke bhai ki taraf se kuch muafi mil jaye to ma'roof tareeqa ki pairvi ki jaye aur khoobi ke saath adayegi ki jaye. Yeh tumhare Rabb ki taraf se ek riaayat aur rahmat hai, phir is ke baad bhi kisi ne ziyadati ki to us ke liye dardnaak azaab hai. (178) Aur aye aqal walon! Tumhare liye qisas mein hayat hai. Umeed hai ke tum bachoge. (179) Tum par farz kiya gaya hai ke jab tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jaye aur woh apne peechhe kuch maal chhorr raha ho to walidain aur qareebi rishta daaron ke liye ma'roof ke mutabiq wasiyyat kar de, yeh laazmi haq hai muttaqi logon par. (180) Phir jo is ko badal dale us ke baad ke usey sun chukka ho to yaqeenan unhi logon par us ka gunah hai jo usey badlein, beshak Allah sunne wala, jaanne wala hai. (181) Phir jo koi andesha mehsoos kare wasiyyat karne wale se kisi qism ki tarafdaari ya gunah ka, phir woh un ke darmiyan islah kar de to us par koi gunah nahi, beshak Allah bakhsne wala, raham karne wala hai. (182)
Surah: Al-Baqarah .... Rukoo: 22 .... Ayah: 177- 182 .... Para: 2
Is rukoo mein jahan qatl par qisas aur maut ke waqt walidain aur qareebi rishta daron ke liye tarka mein khaas wasiyyat ki taakeed ki gayi hai wahin neki, sachchai aur parhezgari ki haqeeqat bhi bayan ki gayi hai. Sirf qibla ki taraf munh karke rukoo aur sajdah karna aur imaan ki haqeeqat se door reh kar sirf is tarah jeena ke kisi aur ki taraf dekha na jaye, yeh neki aur parhezgari nahi hai. Neki un tamam khoobiyon ke majmua ka nam hai jo ek sahib-e-imaan aadmi ke andar zaroor hona chahiye. Neki sirf yeh nahi hai ke tum apne chehre mashriq aur maghrib ki taraf kar lo, balke neki uski hai jo imaan laya Allah par, Aakhirat ke din par, Farishton par, Kitab par aur Nabiyon par aur usne maal kharch kiya uski mohabbat ke bawajood rishtedaron par, yateemon par, miskeenon par, musafiron par, sawaal karne walon par aur gardanon ko chhudane mein, aur namaz qaim ki aur zakat ada ki aur woh apne ahad ko poora karne wale hain jab bhi woh ahad karein aur sabr karne wale hain tang-dasti aur takleef mein aur jung ke waqt, yehi log hain jinhon ne sach kaha aur yehi parhezgar log hain. *
Dr Noorus Sabah Ismail (Nadvi Alig)
(January 21, 2024)


 

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...