Thursday, February 1, 2024

Noor-e-Quran 21 Momin Allāh kā dīwānah hotā hai

 Yaqīnan āsmānon aur zamin kī takhlīq mein aur rāt din ke badalne mein aur un kashtiyon mein jo insānon ko naf'a pahunchāne wālī cheezain le kar samundar mein chaltī hain aur us pāni mein jis ko Allāh ne āsmān se nāzil kiyā phir us se murdah zamin ko zindah kardiyā aur us mein har qism ke jāndār phailādiye, aur hawāon kī gardish mein aur badal mein jo āsmān aur zamin ke darmiyān musakhkhar hain, un logon ke liye bahut sārī nishāniyān hain jo aqal se kām lete hain. (164) Aur logon mein se kuch aise hain jo Allāh ke siwā doosron ko us ke barābar thehrāte hain, woh un se us tarah mohabbat karte hain jis tarah Allāh se mohabbat karnī chahiye. Aur jo īmān laaye hain woh sab se ziyādah Allāh se mohabbat karte hain. Aur kāsh woh log jinhon ne zulm kiyā hai us waqt ko dekh lein jab woh azāb ko dekhen ge to jān lein ke be shak quwwat sab ki sab Allāh ke liye hai aur Allāh sakht azāb dene walā hai. (165) Jab woh log jin ki peirvī kī gaī thī, un logon se bezār hojāyen ge jinhon ne peirvī kī thī aur woh azāb ko dekh lein ge aur un ke sab ta'alluqāt toot jāyen ge. (166) Aur jin logon ne peirvī kī thī woh kahen ge, kāsh hum ko phir ek mauq'a diyā jātā to hum bhī un se usi tarah bezārī zāhir karte jis tarah unhon ne hum se bezārī dikhāī hai. Is tarah Allāh un ke a'māl ko unhen hasrat banā kar dikhāye gā aur woh aag se nikal nah pāyen ge. (167)
Sūrah: Baqarah .... Rukū': 20 .... Āyat: 164- 167 .... Pārah: 2
Rahmān o Rahīm Khudā'e Wāhid Allāh Subhānahu wa Ta'ālā kaun hai, kahān hai aur Usey kaise dekhā aur samjhā jā saktā hai, yahān is jagah us kā jawāb maujūd hai ke Khudā'e Alīm o Hakīm kāīnāt ke har hisse mein maujūd hai aur insān agar apnī aqal kā istemāl kar sake to woh Us ke jalwe duniyā kī har shay mein dekh sakta hai. Is mein kya shak hai ke Allāh ne har insān ko aqal atā kī hai aur woh apne har ma'āmle mein apnī aqal istemāl karta hai aur phir us kī aqal jo faislā sunāti hai wohī haṭtamī aur yaqīnī baat hotī hai. Khudā kī zāt is kāīnāt kī sab se barī haqīqat hai aur is baat ko har woh ādmī samajh sakta hai jo apnī aqal kā sahīh istemāl kare aur zamin o āsmān kī banāwat mein, din o rāt ke āne jāne mein, kashtiyon ke samundar kī satah par doṛne mein, āsmān se bārish ke nāzil hone aur mukhtalif ashyā' aur jāndār ke paidā hone mein aur baadalon ke zamin o āsmān ke darmiyān muallaq hone mein ghaur o fikr kare. Jis tarah hamārī aqal din ko rāt nahīn kahti aur zamin ko āsmān taslīm nahīn kar saktī usī tarah hamārī aqal hum ko yeh bhī bātāti hai ke is kāīnāt kā koi khāliq o mālik bhī hai aur Woh akelā is duniyā kā Hukmarān hai. Sharṭ bas yeh hai ke aqal salāmat ho aur insān us kā durust istemāl kar sake. Rasūl Allāh ﷺ ke jadd e amjad Ibrāhīm Alaihis Salām kā wāq'iah is silsilah mein behtarīn misāl hai ke un ko khudā kī marifat us waqt hāsil huī jab unhon ne ashyā'e kāīnāt par ghaur o khouz kiyā aur apnī aqal kā behtarīn istemāl kar key unhon ne khudā kī marifat, qurbat aur mohabbat hāsil kī.
Jab insān khudā kī rahmat, mohabbat aur 'azmat kā andāzah lagātā hai to woh apne āp ko us kī shadīd mohabbat mein ghirā huā pātā hai aur apnā sar aur dil sirf usī ke āge jhukāne par majboor hojātā hai. Yahan un logon par hairat zāhir kī gaī hai jo Allāh ke siwā doosron ko bhī ma'būd banā lete hain aur un se us tarah mohabbat karte hain jaisī mohabbat sirf aur sirf Allāh Rahmān o Rahīm kā haq hai. Yahan Allāh Ta'ālā ne sāf lafzon mein yeh bāt bayān farmāī hai ke woh ādmī jis ke dil mein khudā ke siwā kisī aur kī mohabbat ho woh momīn nahīn ho saktā hai. Mohabbat Ilāhī īmān kā woh buniyādī aur lāzimī taqāzā hai jis ke baghair koī sāhib e īmān nahīn ho saktā hai. Woh log jo Allāh ke siwā doosron se mohabbat karte aur un se ummīd lagāye baithe hain, kal Qiyāmat ke din un kī hasrat o na'umīdī kī koī intehā nahīn hogī jab woh yeh dekh lein ge ke un kī sārī 'aqīdaten, mohabbaten aur 'ibādaten rā'igān chalī gayīn aur woh jin se ummīd lagāye baithe the unhon ne un se apnā dāman jhāṛ liyā.

Noor-e-Quran 21
Momin Allāh kā dīwānah hotā hai
By: Dr. Noorus Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
7 January 2024



No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...