Sunday, December 10, 2023

Noor-e-Quran 17 Millat e Ibrahim hi Asal Hai

 



Aur kaun hai jo Ibrahim ki millat se munh moray siwaye us ke jis ne apne aap ko bewaqoof bana liya ho. Aur yaqeenan hum ne us ko duniya mein chun liya tha aur bilashuba woh aakhirat mein bhi neik logon mein se hoga. (130) Jab us ke Rab ne us se kaha ke farma’n bardaar hoja. Us ne kaha, mein Rabbul Aalameen ka farma’n bardaar ho gaya. (131) Aur Ibrahim ne apne beton ko isi ki wasiyat ki aur Yaqoob ne bhi. Ae mere beto! Be shak Allah ne tumhare liye is deen ko pasand farma liya hai toh tum hargiz na marna magar is haal mein ke tum musalman ho. (132) Kya tum us waqt mojood they jab Yaqoob ko maut aayi. Jab us ne apne beton se kaha, mere baad tum kis ki ibadat karoge? Woh bole ke hum aap ke khuda ki ibadat karenge aur aap ke baap dada Ibrahim, Ismail aur Ishaq ke khuda ki, khuda-e-wahid ki aur hum sab usi ke farm’n bardar hain. (133) Woh ek ummat thi jo yaqeenan guzar chuki, us ko milega jo kuch us ne kamaya hai aur tumhein milega jo kuch tum ne kamaya hai, aur tum se us ke bare mein sawal nahi kiya jayega jo woh kiya karte they. (134) Aur unhon ne kaha ke Yahoodi ban jao ya Nasrani ban jao toh hidayat paoge. Tum keh do! Balkey Ibrahim ki millat jo yaksu tha aur mushrikeen mein se nahi tha. (135) Tum sab kaho ke hum Allah par iman laye aur us par iman laye hain jo hamari taraf nazil kiya gaya hai aur jo nazil kiya gaya Ibrahim, Ismail, Ishaq, Yaqoob aur un ki aulad ki taraf aur jo Musa aur Eesa ko diya gaya aur deegar nabiyon ko un ke Rab ki janib se diya gaya, hum un mein se kisi ke darmiyan farq nahi karte aur hum sirf usi ke farma’n bardar hain. (136) Phir agar woh imaan le aayein jis tarah tum imaan laye ho toh beshak woh hidayat pa gaye aur agar woh munh mor lein toh yaqeenan ab woh mukhalifat mein hain. Ab un ke muqabla mein tumhare liye Allah kafi hoga, aur Woh khoob sunne wala aur khoob janne wala hai. (137) Allah ka rang ikhtiyar karo, aur Allah se achchha rang kis ka hoga aur hum to Usi ki ibadat karne wale hain. (138) Keh do, kia tum hum se Allah ke bare mein hujjat kar rahe ho, halanki Wohi hamara bhi Rab hai aur tumhara bhi Rab hai. Hamare liye hamare aamaal hain aur tumhare liye tumhare aamaal, aur hum to Usi ke liye mukhlis hain. (139) Kya tum kehte ho ke Ibrahim, Ismail, Ishaq aur Yaqoob aur un ki aulad Yahoodi ya Nasrani they? Keh do: Tum zyada jante ho ya Allah? Aur us se bada zalim aur kaun hoga jo us gawahi ko chhupaye jo Allah ki taraf se us ke paas aayi hui hai. Aur Allah us se ghaafil nahi hai jo tum kar rahe ho. (140) Woh ek ummat thi jo yaqeenan guzar chuki, us ko milega jo kuch us ne kamaya hai aur tumhein milega jo kuch tum ne kamaya hai, aur tum se us ke bare mein sawal nahi kiya jaye ga jo woh kiya karte they. (141)

... Surah: Baqarah ... Rukoo: 16 ... Ayat: 130- 141 ...
Millat e Ibrahim hi asal aur bunyadi tariqa aur mazhab hai na ke Yahoodiyat ya Nasraniyat. Taurat, Injeel aur Quran sab isi deen Hanif ki dawat dete aur isi Ibrahimi millat ki taraf logon ko mutawajjah karte hain. Allah Ta'ala ne Ibrahim Alaihis Salaam ko Imam un Naas ka darja de kar un ki auladon ko deen e haq ki khidmat o dawat ke liye qubool farmaya tha. Ismail (A), Ishaq (A), Yaqoob (A), Musa (A), Eesa (A), aur Muhammad ﷺ sab aulad e Ibrahim (A), hain aur Allah ke nabi hain. Hum sab par barabar imaan laate hain, tamam ambiya-e-kiram ka dil o jaan se ehteram karte hain aur hargiz un ke darmiyan koi farq nahi karte. Jo log is se hutt kar doosri baat karte hain un ke liye Allah ki yeh baat kafi hai, "Keh do! Tum zyada jante ho ya Allah?"
By: Dr Noorus Sabah Ismail (Nadwi, Alig)
(10th December 2023)

No comments:

Post a Comment

Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers

  Square Day Fun: A Shape-Filled Adventure for Toddlers On October 30, 2024, our Pre-Primary Department at Jibreel International School cele...