"Aye Bani Israel! Meri us nemat ko yaad karo jo Mai ne tumhein ata ki thi aur be shak Main ne tum ko duniya walon par fazilat di." (122) "Aur us din se daro jis din koi shakhs kisi shakhs ke kuch bhi kaam nah aaye ga aur na us se koi fidya qubool kiya jaye ga aur na usay koi shifa'at nafa de gi aur na un ki koi madad ki jaye gi." (123) "Aur jab Ibrahim ko us ke Rab ne chand baaton mein aazmaya toh us ne un ko poora kar dikhaya, farmaya, be shak Main tumhein logon ka imam banane wala hoon, us ne kaha aur meri aulad mein se? Farmaya, mera ahad zalimon ko nahin pohnchega." (124) "Aur jab hum ne is ghar ko logon ke liye markaz aur aman ki jagah banaya aur hukm diya ke maqam-e-Ibrahim ko namaz padhne ki jagah banao, aur hum ne Ibrahim aur Isma'il ko takeed ki ke mere ghar ko tawaf karne walon, eitikaf karne walon aur rukoo, sajdah karne walon ke liye paak rakho." (125) "Aur jab Ibrahim ne kaha ke ae mere Rab! Is shehar ko aman wala bana de aur iske bashindon ko jo un mein se Allah aur akhirat ke din par iman laye phalon ka rizq ata farma, farmaya, jo kufr karega Main usay bhi thoda faida pahunchaunga. Phir Main us ko aag ke azab ki taraf dhakel doonga aur woh bahut hi bura thikana hai." (126) "Aur jab Ibrahim aur Ismail Khaana Kaaba ki bunyaden utha rahe they aur dua kar rahe they ke ae hamare Rab! Tu hamari taraf se ise qubool farma. Beshak Tu sunne wala, jan'ne wala hai." (127) "Ae hamare Rab! Hum donon ko apna farmaan bardar bana aur hamari nasl mein se Tu apni ek farmaan bardar ummat utha aur hum ko hamari ibadat ke tariqe bata aur hamari taubah qubool farma. Be shak Tu taubah qubool karne wala, reham farmane wala hai." (128) "Ae hamare Rab! Tu un mein unhi mein se ek rasool bhej jo un par teri ayat tilawat kare aur un ko kitaab aur hikmat ki taleem de aur un ka tazkiyah kare, be shak Tu sab par ghalib aur hikmat wala hai." (129)
.... Surah: Baqarah .... Ruku: 15 .... Ayat: 122- 129 ....
Yahan is ruku mein Imam al-Naas Ibrahim علیه السلام aur un ke bade sahabzade Ismail علیه السلام ka woh ahem waqia mazkoor hai jab unho ne Allah ke hukm se Allah ke ghar Khaana Kaaba ki tameer farmayi thi. Allah Ta'ala ne Ibrahim علیه السلام ko Khaana Kaaba ki tameer ka hukm us waqt diya jab unho ne mutadid khuda'i imtehanat mein kamyabi hasil ki aur Allah ki janib se un ko logon ki imamat wa peshwai ki khush khabri sunayi gayi. Allah ne elaan farma diya ke ab insano ki hidayat wa rehnumai ka fariza aulaad-e-Ibrahim hi anjam de gi aur Bani Ismail wa Bani Israel ke zariye Allah taala apna paighaam e rushd wa hidayat apne bandon tak pahunchaye ga.
Tameer Kaaba ke waqt Allah Ta'ala ne Ibrahim علیه السلام wa Ismail علیه السلام ko jo khusoosi hidayat di hain aur unho ne Allah ke samne jo guzarishat pesh ki hain woh yahan is ruku mein mojud hain. Allah ne Khaana Kaaba ko apna ghar qarar diya aur ise duniya walon ke liye markaz aur maqam e aman banaya. Tawaf, eitikaf aur namaz ki khatir is ko paak saaf rakhne ka hukm diya aur insanon ko hukm diya ke woh maqam e Ibrahim ko musalla banayein. Ibrahim علیه السلام ne Ahl-e-Makkah ke liye aman aur rizq ki farawani ki khusoosi dua ki jise Allah ne qubool farmaya. Isi ke sath unho ne Ummat-e-Muslimah ki khatir bhi dua ki aur manasik wa ibadat ki taleem ki guzarish bhi ki.
Yahan ek baat qabil-e-ghor hai ke is ruku ka aghaz Bani Israel par be misal inaamat e khuda'wandi ke zikr se hota hai. Is ka ek matlab yeh bhi hai ke Bani Israel apne aap ko Khaana Kaaba se alag nah samjhein. Yeh ghar un ke dada Ibrahim علیه السلام aur chacha Ismail علیه السلام ke zariye taameer hua hai. Bani Ismail aur Bani Israel dono aulad-e-Ibrahim علیه السلام hain. Dono ka haqeeqi mazhab Islam hi hai. Nasli bunyadon par jitne ikhtilafat uchaale gaye hain sab shaitan ki shararatien hain. In dono ko apni bunyad ka lihaz rakhna chahiye aur ittefaq wa ittehad ke sath deen e tauheed par amal karna chahiye. *
By: Dr Noorus Sabah Ismail (Nadwi Alig)
(3rd December 2023)
No comments:
Post a Comment